SHAWORDS

yunhi kar lete hain auqaat basar apnaa kyaa — Farooq Nazki

HomeFarooq NazkiGhazal
"yunhi kar lete hain auqaat basar apnaa kyaa apne hi shahr mein hain shahr-badar apnaa kyaa raat lambi hai chalo ghibat-e-yaaraan kar lein shab kisi taur to ho jaae basar apnaa kyaa duriyaan faasle dushvaar guzargaahein hain hai yahi shart-e-safar rakht-e-safar apnaa kyaa tujh se ab izn-e-takallum bhi agar mil jaae lab hilein yaa na hilein aankh ho tar apnaa kyaa jaam phir taaza karo raat bahut lambi hai kuchh to karnaa hai miyaan taa-ba-sahar apnaa kyaa"
Urdu

یوں ہی کر لیتے ہیں اوقات بسر اپنا کیا اپنے ہی شہر میں ہیں شہر بدر اپنا کیا رات لمبی ہے چلو غیبت یاراں کر لیں شب کسی طور تو ہو جائے بسر اپنا کیا دوریاں فاصلے دشوار گزر گاہیں ہیں ہے یہی شرط سفر رخت سفر اپنا کیا تجھ سے اب اذن تکلم بھی اگر مل جائے لب ہلیں یا نہ ہلیں آنکھ ہو تر اپنا کیا جام پھر تازہ کرو رات بہت لمبی ہے کچھ تو کرنا ہے میاں تا بہ سحر اپنا کیا

Hindi

यूँही कर लेते हैं औक़ात बसर अपना क्या अपने ही शहर में हैं शहर-बदर अपना क्या रात लम्बी है चलो ग़ीबत-ए-याराँ कर लें शब किसी तौर तो हो जाए बसर अपना क्या दूरियाँ फ़ासले दुश्वार गुज़रगाहें हैं है यही शर्त-ए-सफ़र रख़्त-ए-सफ़र अपना क्या तुझ से अब इज़्न-ए-तकल्लुम भी अगर मिल जाए लब हिलें या न हिलें आँख हो तर अपना क्या जाम फिर ताज़ा करो रात बहुत लम्बी है कुछ तो करना है मियाँ ता-ब-सहर अपना क्या

yūñhī kar lete haiñ auqāt basar apnā kyā
Farooq Nazki
Farooq Nazki
Farooq Nazki
poet34 quotes

More by Farooq Nazki

View all →

More on Raat

View all →
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"chaahe khoTe hain yaa khare hain ham Dast-e-qudrat ke laaDle hain ham 'aks-e-rafta ko dekhiye saahib kitne maa'sum lag rahe hain ham raat jivan kaa giit gaati hai khvaab-e-tanvim dekhte hain ham 'umr lag jaaegi sanbhalne mein kis bulandi se yuun gire hain ham ek hangaam hai taghayyur kaa kunj-e-nisyaan mein paDe hain ham ab bhi mehndi kaa rang gahraa hai sandalin haath par rache hain ham ik tamaashaa hai kaar-zaar-e-hayaat dekh kar ser ho chuke hain ham jhilmilaate hain aarzu ke kanval dil-jharoke se jhaankte hain ham"
Bushra MasuudBushra Masuud