SHAWORDS

zabaan ko hukm nigaah-e-karam ko pahchaane — Ada Jafarey

HomeAda JafareyGhazal
"zabaan ko hukm nigaah-e-karam ko pahchaane nigah kaa jurm ghubaar-e-alam ko pahchaane vo ek jaam kahaan har kisi ki qismat mein vo ek zarf ki eajaaz-e-sam ko pahchaane mataa-e-dard parakhnaa to bas ki baat nahin jo tujh ko dekh ke aae vo ham ko pahchaane vo dil jo khaak hue aaj tak dhaDakte hain rah-e-vafaa tire mojiz-raqam ko pahchaane sahar se pahle yahaan aaftaab ubhre hain khulus bandgi-e-chashm-e-nam ko pahchaane ye khud-fareb ujaale ye haath haath diye diye bujhaao ki insaan gham ko pahchaane kisi khayaal kaa saaya kisi umiid ki dhuup koi to aae ki dil kaif-o-kam ko pahchaane hazaar kos nigaahon se dil ki manzil tak koi qarib se dekhe to ham ko pahchaane jo ham-safar bhi rahe hain sharik-e-manzil bhi kuchh ajnabi to na the phir bhi kam ko pahchaane bahut dinon to havaaon kaa ham ne rukh dekhaa baDe dinon mein mataa-e-qalam ko pahchaane"
Urdu

زباں کو حکم نگاہ کرم کو پہچانے نگہ کا جرم غبار الم کو پہچانے وہ ایک جام کہاں ہر کسی کی قسمت میں وہ ایک ظرف کہ اعجاز‌ سم کو پہچانے متاع درد پرکھنا تو بس کی بات نہیں جو تجھ کو دیکھ کے آئے وہ ہم کو پہچانے وہ دل جو خاک ہوئے آج تک دھڑکتے ہیں رہ وفا ترے معجز رقم کو پہچانے سحر سے پہلے یہاں آفتاب ابھرے ہیں خلوص بندگیٔ چشم نم کو پہچانے یہ خود فریب اجالے یہ ہاتھ ہاتھ دیئے دیئے بجھاؤ کہ انسان غم کو پہچانے کسی خیال کا سایہ کسی امید کی دھوپ کوئی تو آئے کہ دل کیف و کم کو پہچانے ہزار کوس نگاہوں سے دل کی منزل تک کوئی قریب سے دیکھے تو ہم کو پہچانے جو ہم سفر بھی رہے ہیں شریک منزل بھی کچھ اجنبی تو نہ تھے پھر بھی کم کو پہچانے بہت دنوں تو ہواؤں کا ہم نے رخ دیکھا بڑے دنوں میں متاع قلم کو پہچانے

Hindi

ज़बाँ को हुक्म निगाह-ए-करम को पहचाने निगह का जुर्म ग़ुबार-ए-अलम को पहचाने वो एक जाम कहाँ हर किसी की क़िस्मत में वो एक ज़र्फ़ कि ए'जाज़-ए-सम को पहचाने मता-ए-दर्द परखना तो बस की बात नहीं जो तुझ को देख के आए वो हम को पहचाने वो दिल जो ख़ाक हुए आज तक धड़कते हैं रह-ए-वफ़ा तिरे मोजिज़-रक़म को पहचाने सहर से पहले यहाँ आफ़्ताब उभरे हैं ख़ुलूस बंदगी-ए-चश्म-ए-नम को पहचाने ये ख़ुद-फ़रेब उजाले ये हाथ हाथ दिए दिए बुझाओ कि इंसान ग़म को पहचाने किसी ख़याल का साया किसी उमीद की धूप कोई तो आए कि दिल कैफ़-ओ-कम को पहचाने हज़ार कोस निगाहों से दिल की मंज़िल तक कोई क़रीब से देखे तो हम को पहचाने जो हम-सफ़र भी रहे हैं शरीक-ए-मंज़िल भी कुछ अजनबी तो न थे फिर भी कम को पहचाने बहुत दिनों तो हवाओं का हम ने रुख़ देखा बड़े दिनों में मता-ए-क़लम को पहचाने

zabāñ ko hukm nigāh-e-karam ko pahchāne
Ada Jafarey
Ada Jafarey
Ada Jafarey
poet101 quotes

More by Ada Jafarey

View all →
Quote
"be-gaangi-e-tarz-e-sitam bhi bahaana-saaz be-chaargi-e-karb-o-alam bhi bahaana-saaz kuchh but banaa liye hain chaTTaanein taraash kar dil bhi bahaana-saaz hai gham bhi bahaana-saaz uzr-e-vafaa ke saath jalaate rahe charaagh khultaa hai ab ki dida-e-nam bhi bahaana-saaz paabandi-e-rusum-o-vafaa bhi bahaana-khu tark-e-vafaa-o-sheva-e-ram bhi bahaana-saaz har lamha-e-hayaat kaa tanhaa rahaa vajud dildaari-e-nigaah-e-karam bhi bahaana-saaz kuchh duur saath saath the itnaa to yaad hai sahraa-e-gham mein naqsh-e-qadam bhi bahaana-saaz sab se baDaa fareb hai khud zindagi 'adaa' is hila-ju ke saath hain ham bhi bahaana-saaz"
Ada JafareyAda Jafarey
Quote
"har gaam sambhal sambhal rahi thi yaadon ke bhanvar mein chal rahi thi saanche mein khabar ke Dhal rahi thi ik khvaab ki lau se jal rahi thi shabnam si lagi jo dekhne main patthar ki tarah pighal rahi thi rudaad safar ki puchhte ho main khvaab mein jaise chal rahi thi kaifiyyat-e-intizaar-e-paiham hai aaj vahi jo kal rahi thi thi harf-e-duaa si yaad us ki zanjir-e-firaaq gal rahi thi kaliyon ko nishaan-e-rah dikhaa kar mahki hui raat Dhal rahi thi logon ko pasand laghzish-e-paa aise mein 'adaa' sambhal rahi thi"
Ada JafareyAda Jafarey
Quote
"aage harim-e-gham se koi raasta na thaa achchhaa huaa ki saath kisi ko liyaa na thaa daamaan-e-chaak chaak gulon ko bahaana thaa dil kaa jo rang thaa vo nazar se chhupaa na thaa rang-e-shafaq ki dhuup khili thi qadam qadam maqtal mein subh-o-shaam kaa manzar judaa na thaa kyaa bojh thaa ki jis ko uThaae hue the log muD kar kisi ki samt koi dekhtaa na thaa kuchh itni raushni mein the chehron ke aaine dil us ko DhunDhtaa thaa jise jaantaa na thaa kuchh log sharmsaar khudaa jaane kyuun hue apne sivaa hamein to kisi se gilaa na thaa har ik qadam uThaa thaa nae mausamon ke saath vo jo sanam taraash thaa but pujtaa na thaa jis dar se dil ko zauq-e-ibaadat ataa huaa us aastaan-e-shauq pe sajda ravaa na thaa aandhi mein barg-e-gul ki zabaan se adaa huaa vo raaz jo kisi se abhi tak kahaa na thaa"
Ada JafareyAda Jafarey
Quote
"Dhalke Dhalke aansu Dhalke chhalke chhalke saaghar chhalke dil ke taqaaze un ke ishaare bojhal bojhal halke halke dekho dekho daaman uljhaa Thahro Thahro saaghar chhalke un kaa taghaaful un ki tavajjoh ik dil us par laakh tahalke un ki tamannaa un ki mohabbat dekho sanbhaal ke dekho sanbhal ke gham ne uThaae saikDon tufaan dil ne bisaaraa laakh machal ke pal mein hansaao pal mein rulaao pal mein ujaale pal mein dhundalke ham ne samjhaa tum ne jaanaa dil ne machaae laakh tahalke laakh manaayaa laakh bhulaayaa nain kaTore bhar bhar kar chhalke kitne uljhe kitne sidhe raste un ke rang-mahal ke"
Ada JafareyAda Jafarey

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil