SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAmeer Hamza Aazmi(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"qismat se jis kisi ko tiraa aastaan mile us kaa mizaaj farsh-e-zamin par kahaan mile har ek ko ye rutba-e-aali kahaan mile vo khush-nasib hai jise dard-e-nihaan mile sahbaa-e-ishq maarifat-e-haq mile mujhe phir kuchh yahaan mile na mujhe kuchh vahaan mile tufaan ki zad pe rakkhi hui shama ki tarah ham log be-amaan hain hamein bhi amaan mile maa'lum ye huaa ki tiri anjuman thi vo ahl-e-zabaan bhi ham ko jahaan be-zabaan mile naadaan hisaar-e-zaat se baahar nikal ke dekh gum-karda kaaenaat kaa shaayad nishaan mile 'hamza' bhaTak rahe hain bhalaa kis dayaar mein chaliye vahaan zamin se jahaan aasmaan mile"
A
Ameer Hamza Aazmi
Quote
"mohabbaton ki ye vaardaatein koi sunegaa to kyaa kahegaa ye bahki bahki tumhaari baatein koi sunegaa to kyaa kahegaa raqaabaton ki qayaamaton se khanDar mein tabdil ho rahi hain hamaari chaahat ki kaaenaatein koi sunegaa to kyaa kahegaa tumhaare khat se ye lag rahaa hai ki rote rote likhaa hai tum ne ye an-kahi si tumhaari baatein koi sunegaa to kyaa kahegaa hami hain mazlum ham hi zaalim hami hain maqtul ham hi qaatil hami hain mohre hami bisaatein koi sunegaa to kyaa kahegaa tire tasavvur kaa aanaa jaanaa mire takhayyul ki vaadiyon mein baghair dulhe ki ye baraatein koi sunegaa to kyaa kahegaa"
A
Ameer Hamza Aazmi
Quote
"miri jaanib nigaah-e-naaz kar aahista aahista mire dil ke jazire mein utar aahista aahista mohabbat donon jaanib hai tafaavut sirf itnaa hai idhar hai tez-rau lekin udhar aahista aahista tiri beTi kaa qad tere baraabar ho gayaa shaayad tu apni khud-kushi par ghaur kar aahista aahista sahar aai na aae vo sitaaro jaao so jaao ki ab chalte hain ham bhi apne ghar aahista aahista jo kal tak meri barbaadi ki qasmein khaate phirte the vahi ab ho rahe hain dar-ba-dar aahista aahista na jaane rah-ravaan-e-raah kaa ab hashr kyaa hogaa bhaTakte jaa rahe hain raahbar aahista aahista khudaa ke vaaste samjhaa-bujhaa kar rok le koi vo dekho jaa rahe hain ruuTh kar aahista aahista adaavat dil mein rakhnaa muskuraa kar guftugu karnaa sabhi ko aa gayaa hai ye hunar aahista aahista nimaT luun doston ki dosti se pahle ai 'hamza' to lungaa dushmanon ki bhi khabar aahista aahista"
A
Ameer Hamza Aazmi
Quote
"junun mein qalb-o-jigar ke TukDon ke marhalon se guzar gayaa huun main ashk ban kar salib-e-mizhgaan pe reza-reza bikhar gayaa huun baDaa dilaavar baDaa sakhi huun ki dushmanon ki kamin-gah mein main aaj apne hi neze ki nok pe le ke apnaa hi sar gayaa huun mire aizzaa mujhe baTorein ki main bhi yak-musht mar ke dekhun ki vaqfe-vaqfe se thoDaa thoDaa bahut si qiston mein mar gayaa huun har ek manzar vaqaar-e-sher-o-adab ki saudaagari kaa manzar main khvaab mein huun ki jaagtaa huun main ji rahaa huun ki mar gayaa huun miraa shuur-o-shiaar-o-ashaar sab had-e-laa-shuur mein hain bisaat-e-naqd-o-nazar ke sar se misaal-e-sarsar guzar gayaa hon"
A
Ameer Hamza Aazmi
Quote
"khudaa-e-paak abhi itnaa mehrbaan to hai hamaare sar ye kiraae kaa saaebaan to hai aTak aTak ke sahi kuchh to bol letaa huun ki TuTi-phuTi si meri bhi ik zabaan to hai bachaa ke rakkhaa hai aslaaf ki amaanat ko hamaare ghar mein buzurgon kaa paan-daan to hai khudaa ke bande khudaai pe fakhr paidaa kar tiri zamin na sahi teraa aasmaan to hai kisi kaa jazba-e-ulfat kisi kaa josh-e-junun abhi javaan huaa thaa abhi javaan to hai samajh ke is ko huquq-ul-ibaad zinda huun miri gali mein paDosi kaa naab-daan to hai yahin pe baiTh parinde shikaar kar 'hamza' yahaan pe sher nahin sher kaa machaan to hai"
A
Ameer Hamza Aazmi
Quote
"izhaar-e-haqiqat ki jasaarat nahin hoti baaghi huun magar us se baghaavat nahin hoti ik marhala aisaa bhi to aataa hai junun mein khalvat mein bhi jab lazzat-e-khalvat nahin hoti ham maabad-e-irfaan ke pujaari hain azal se ham se shab-e-dijur ki bai'at nahin hoti kuchh bhi use kah lijiye insaan na kahiye vo jis ko khataaon pe nadaamat nahin hoti ye kaam mire bas mein nahin maslahatan bhi mujh se kabhi baatil ki vakaalat nahin hoti yuun qahr-e-khudaavand se Dartaa to bahut huun lekin kabhi taufiq-e-ibaadat nahin hoti aankhon se mire niind uchak le gayaa koi khvaabon mein bhi ab us ki ziyaarat nahin hoti"
A
Ameer Hamza Aazmi
Quote
"aankh kyon apni mal rahe ho tum ho ke patthar pighal rahe ho tum aarzu ban ke dil mein utre the ban ke aansu nikal rahe ho tum chhoDte kyon nahin ho bughz-o-hasad kyon jahannum mein jal rahe ho tum kyaa koi yaad aa rahaa hai tumhein karvaTein kyon badal rahe ho tum mere bhaai ho aur mere khilaaf zahr kitnaa ugal rahe ho tum vo khilaunaa to mil chukaa hai tumhein jis ki khaatir machal rahe ho tum maan pyaasi paDi hai bistar par luqma-e-tar nigal rahe ho tum aaj ye iltifaat 'hamza' par lag rahaa hai phisal rahe ho tum"
A
Ameer Hamza Aazmi
Quote
"na un ki tarjumaani se na un ko darmiyaan kar ke dilon kaa faisla hotaa hai aankhon ko zabaan kar ke hamaare gham hamaare dil ki paakiza amaanat hain khayaanat ham se ho sakti nahin aah-o-fughaan kar ke nigaahon mein samaae dil mein utre ruuh tak pahunche ishaara-baaziyaan dil-reziyaan sargoshiyaan kar ke tum apni saltanat pe is qadar naazaan ho aur ham ne bhulaa diin shaahiyaan sultaaniyaan sardaariyaan kar ke vo kho baiThe ba-aasaani vaqaar-e-zindagi apnaa himaaqat-kheziyaan be-aqliyaan naadaaniyaan kar ke khudaa jaane mire ahbaab ki kyaa maqsadiyyat hai ye fitna-kheziyaan bezaariyaan be-mehriyaan kar ke jahaan ko phir usi husn-e-tilismaana ki haajat hai dikhaa de ek pal mein jo khirad ki dhajjiyaan kar ke"
A
Ameer Hamza Aazmi