SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byMajid(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"chaand ki kirnon ki chaadar ne sab ke ruup chhupaae hain aankhon vaale sab hi jaa kar nagri se lauT aae hain taariki kaa naam ho raushan aage pichhe ek diyaa raushniyon ke viraane mein aage pichhe saae hain kirnon ke dhaagon ko sameTe uun kaa golaa Duub gayaa nangi dharti lambi raatein dekh ke ham tharraae hain jhaaDi jhaaDi sungh rahaa huun koi bhi khargosh nahin kutton jaise pair kahaan se har jhaaDi tak aae hain lohe aur patthar ki saari tasvirein miT jaaeingi kaaghaz ke parde par ham ne sab ke ruup jamaae hain ghanTi ki aavaazein sach hain chikh pe koi kaan na do lohe ke taabut mein 'maajid' insaanon ke saae hain"
MajidMajid
Quote
"vo zard chehra moattar nigaah jaisaa thaa havaa kaa ruup thaa bolo to aah jaisaa thaa aliil vaqt ki poshaak thaa bukhaar us kaa vo ek jism thaa lekin karaah jaisaa thaa bhaTak rahaa thaa andhere mein dard kaa dariyaa vo ek raat kaa jugnu thaa raah jaisaa thaa gali ke moD pe Thahraa huaa thaa ik saaya libaas chup kaa badan par nibaah jaisaa thaa chalaa to saae ke maanind saath saath chalaa rukaa to mere liye mahr-o-maah jaisaa thaa qarib dekh ke us ko ye baat kis se kahun khayaal dil mein jo aayaa gunaah jaisaa thaa bahut si baaton mein majbur thaa vo ham se bhi takallufaat mein aalam-panaah jaisaa thaa khabar ke uDte hi yunhi ki mar gayaa 'maajid' puraane ghar kaa samaan jashn-gaah jaisaa thaa"
MajidMajid
Quote
"soch ke be-samt darvaazon pe jab patthar lagaa main simaT kar uD gayaa khaali badan kaa ghar lagaa ghurti hain har taraf be-nur aankhein kis liye aaina-khaane mein andhe se kaho chakkar lagaa yaad mein kapDe badalne ke liye mujh se chhupaa vo kahin bhi thaa mujhe kuchh der dariyaa par lagaa jin munDeron se kabutar jhaankte the raat din itni unchi ho gai hain dekhte hi Dar lagaa ittifaaqan ghanTiyaan si kaan mein bajne lagin main akelaa hi thaa ghar mein saaraa ghar mandar lagaa"
MajidMajid
Quote
"mujhi se puchh rahaa thaa miraa pataa koi buton ke shahr mein maujud thaa khudaa koi khamoshiyon ki chaTaanon ko toDne ke liye kisi ke paas nahin tisha-e-sadaa koi darakht haath uThaa kar salaam karte the mire junun kaa mubaarak thaa marhala koi samajh sakaa na magar koi pattharon ki zabaan har ek lamha lagaa boltaa huaa koi ye band lab hain ki koi khuli hui si kitaab mire savaal pe is dam to boltaa koi varaq pe raat ke likkhi hai subh ki tahrir ye ek vaqt hai be-rang-o-nur saa koi na harf harf huaa aks-e-guftugu meraa samajhnaa chaaho to le aao aaina koi ik aansuon kaa samundar thaa jal-pari kaa libaas milaa to aise milaa paikar-e-vafaa koi har ek zehn mein apne hi band hai 'maajid' fazaa ke khol se baahar hai raasta koi"
MajidMajid
Quote
"sapne ki vaadi ko taj kar rup-nagar mein aayaa kar din ke phaile kaaghaz par apni tasvir banaayaa kar dhuup kaDi hai nangaa sar hi sahraaon se guzrungaa apne dupaTTe ke pallu kaa mere sar par saayaa kar ek samundar ki maujon ko ek bhanvar mein rahne de niili aankhon ke saagar ko aise mat chhalkaayaa kar honT ki surkhi jhaank uThti hai shishe ke paimaanon se miTTi ke bartan mein paani pi kar pyaas bujhaayaa kar dil ki aavaazon kaa gumbad aabaadi mein phahTtaa hai duur kisi khaamosh kuein mein munh laTkaa kar gaayaa kar biis baras se ik taare par man ki jot jagaataa huun divaali ki raat ko tu bhi koi diyaa jalaayaa kar 'maajid' ne bairaag liyaa hai koi aisi baat nahin idhar udhar ki baatein kar ke logon ko samjhaayaa kar"
MajidMajid
Quote
"qaid-e-tanhaai se qaid-e-umr mein aa jaaungaa farq itnaa hai ki khaanaa apne ghar kaa khaaungaa saans ki zanjir ne jakDe hain mere haath paanv apni marzi se koi main kaam kyaa kar paaungaa ye andheri raat aur be-samt sahraa kaa safar dushmanon se bach gayaa to khud bhi Thokar khaaungaa aankh se dekhungaa jab main hilte honTon ki sadaa main bhi bahraa ho gayaa huun zor se chillaaungaa naar ab gulzaar hone ke zamaane khatm hain bhiik maangungaa khudaa se giit sab ke gaaungaa zaabta koi nahin hai baarishon par munhasir khet ke bijon mein 'maajid' phul-phal le aaungaa"
MajidMajid
Quote
"ye zor-o-shor sar-e-aabshaar kaisaa hai khamosh kab se hai ye kohsaar kaisaa hai koi hai aur bhi aaegaa jo usi jaisaa vo aa chukaa hai magar intizaar kaisaa hai jo chaahte hain kisi ko yahaan na aane dein bataao shahr-e-talab mein hisaar kaisaa hai ye kaisi shaakh ke paivand hain darakhton par ye kaise phal hain ye rang-e-bahaar kaisaa hai hamesha soch se kam hi rahaa hai har haasil khayaal-o-khvaab kaa ye intishaar kaisaa hai kisi bhi ghar mein vo pahli mohabbat hai hi nahin koi bhi kahtaa nahin ye dayaar kaisaa hai har ek lafz ke maani badal gae 'maajid' jahaan-e-sher mein ye khalfashaar kaisaa hai"
MajidMajid
Quote
"jab judaa peDon se kaT kar Daali Daali ho gai ik tere jangal ki maajid god khaali ho gai koi mausam ho ba-har-surat havaa chalti rahi baDh gayaa itnaa dhuaan har shakl kaali ho gai mere chehre par likhi thiin surkhiyaan akhbaar ki jo bhi surat saamne aai savaali ho gai hain vahi alfaaz lekin vo maaani hi nahin baat sulh-o-aashti ki aaj gaali ho gai teri tasviron pe bhi apnaa nahin hai ikhtiyaar faasla itnaa baDhaa surat khayaali ho gai khuun kaa khatt-e-istavaa 'maajid' taassub mein ghiraa pyaar ki baad-e-sabaa baad-e-shumaali ho gai"
MajidMajid