SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byNaseer Turabi(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"diyaa saa dil ke kharaabe mein jal rahaa hai miyaan diye ke gird koi aks chal rahaa hai miyaan ye ruuh raqs-e-charaaghaan hai apne halqe mein ye jism saaya hai aur saaya Dhal rahaa hai miyaan ye aankh parda hai ik gardish-e-tahayyur kaa ye dil nahin hai bagula uchhal rahaa hai miyaan kabhi kisi kaa guzarnaa kabhi Thahar jaanaa mire sukut mein kyaa kyaa khalal rahaa hai miyaan kisi ki raah mein aflaak zer-e-paa hote yahaan to paanv se sahraa nikal rahaa hai miyaan hujum-e-shokh mein ye dil hi be-gharaz niklaa chalo koi to harifaana chal rahaa hai miyaan tujhe abhi se paDi hai ki faisla ho jaae na jaane kab se yahaan vaqt Tal rahaa hai miyaan tabiaton hi ke milne se thaa maza baaqi so vo maza bhi kahaan aaj-kal rahaa hai miyaan ghamon ki fasl mein jis gham ko raaegaan samjhe khushi to ye hai ki vo gham bhi phal rahaa hai miyaan likhaa 'nasir' ne har rang mein safed-o-siyaah magar jo harf lahu mein machal rahaa hai miyaan"
Naseer TurabiNaseer Turabi
Quote
"tujhe kyaa khabar mire be-khabar miraa silsila koi aur hai jo mujhi ko mujh se baham kare vo gurez-paa koi aur hai mire mausamon ke bhi taur the mire barg-o-baar hi aur the magar ab ravish hai alag koi magar ab havaa koi aur hai yahi shahr shahr-e-qaraar hai to dil-e-shikasta ki khair ho miri aas hai kisi aur se mujhe puchhtaa koi aur hai ye vo maajraa-e-firaaq hai jo mohabbaton se na khul sakaa ki mohabbaton hi ke darmiyaan sabab-e-jafaa koi aur hai hain mohabbaton ki amaanatein yahi hijratein yahi qurbatein diye baam-o-dar kisi aur ne to rahaa basaa koi aur hai ye fazaa ke rang khule khule isi pesh-o-pas ke hain silsile abhi khush-navaa koi aur thaa abhi par-kushaa koi aur hai dil-e-zud-ranj na kar gila kisi garm o sard raqib kaa rukh-e-naa-sazaa to hai ru-ba-ru pas-e-naa-sazaa koi aur hai bahut aae hamdam o chaara-gar jo numud-o-naam ke ho gae jo zavaal-e-gham kaa bhi gham kare vo khush-aashnaa koi aur hai ye 'nasir' shaam-e-supurdagi ki udaas udaas si raushni ba-kanaar-e-gul zaraa dekhnaa ye tumhi ho yaa koi aur hai"
Naseer TurabiNaseer Turabi
Quote
"dekh lete hain ab us baam ko aate jaate ye bhi aazaar chalaa jaaegaa jaate jaate dil ke sab naqsh the haathon ki lakiron jaise naqsh-e-paa hote to mumkin thaa miTaate jaate thi kabhi raah jo ham-raah guzarne vaali ab hazar hotaa hai us raah se aate jaate shahr-e-be-mehr! kabhi ham ko bhi mohlat detaa ik diyaa ham bhi kisi rukh se jalaate jaate paara-e-abr-e-gurezaan the ki mausam apne duur bhi rahte magar paas bhi aate jaate har ghaDi ek judaa gham hai judaai us ki gham ki miaad bhi vo le gayaa jaate jaate us ke kuche mein bhi ho, raah se be-raah 'nasir' itne aae the to aavaaz lagaate jaate"
Naseer TurabiNaseer Turabi
Quote
"vo be-vafaa hai to kyaa mat kaho buraa us ko ki jo huaa so huaa khush rakhe khudaa us ko nazar na aae to us ki talaash mein rahnaa kahin mile to palaT kar na dekhnaa us ko vo saada-khu thaa zamaane ke kham samajhtaa kyaa havaa ke saath chalaa le uDi havaa us ko vo apne baare mein kitnaa hai khush-gumaan dekho jab us ko main bhi na dekhun to dekhnaa us ko abhi se jaanaa bhi kyaa us ki kam-khayaali par abhi to aur bahut hogaa sochnaa us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe miri du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah DhunD rahi hai shab-e-girafta-dilaan koi bataao mire ghar kaa raasta us ko ghazal mein tazkira us kaa na kar 'nasir' ki ab bhulaa chukaa vo tujhe tu bhi bhuul jaa us ko"
Naseer TurabiNaseer Turabi
Quote
"dard ki dhuup se chehre ko nikhar jaanaa thaa aaina dekhne vaale tujhe mar jaanaa thaa raah mein aise nuqush-e-kaf-e-paa bhi aae main ne daanista jinhein gard-e-safar jaanaa thaa vahm-o-idraak ke har moD pe sochaa main ne tu kahaan hai mire hamraah agar jaanaa thaa aagahi zakhm-e-nazaara na bani thi jab tak main ne har shakhs ko mahbub-e-nazar jaanaa thaa qurbatein ret ki divaar hain gir sakti hain mujh ko khud apne hi saae mein Thahar jaanaa thaa tu ki vo tez havaa jis ki tamannaa be-sud main ki vo khaak jise khud hi bikhar jaanaa thaa aankh viraan sahi phir bhi andheron ko 'nasir' raushni ban ke mire dil mein utar jaanaa thaa"
Naseer TurabiNaseer Turabi
Quote
"vo ham-safar thaa magar us se ham-navaai na thi ki dhuup chhaanv kaa aalam rahaa judaai na thi na apnaa ranj na auron kaa dukh na teraa malaal shab-e-firaaq kabhi ham ne yuun ganvaai na thi mohabbaton kaa safar is tarah bhi guzraa thaa shikasta-dil the musaafir shikasta-paai na thi adaavatein thin, taghaaful thaa, ranjishein thiin bahut bichhaDne vaale mein sab kuchh thaa, bevafaai na thi bichhaDte vaqt un aankhon mein thi hamaari ghazal ghazal bhi vo jo kisi ko abhi sunaai na thi kise pukaar rahaa thaa vo Dubtaa huaa din sadaa to aai thi lekin koi duhaai na thi kabhi ye haal ki donon mein yak-dili thi bahut kabhi ye marhala jaise ki aashnaai na thi ajiib hoti hai raah-e-sukhan bhi dekh 'nasir' vahaan bhi aa gae aakhir, jahaan rasaai na thi"
Naseer TurabiNaseer Turabi
Quote
"misl-e-sahraa hai rifaaqat kaa chaman bhi ab ke jal bujhaa apne hi shoalon mein badan bhi ab ke khaar-o-khas huun to sharar-kheziyaan dekhun phir se aankh le aai hai ik aisi kiran bhi ab ke ham to vo phuul jo shaakhon pe ye sochein pahron kyuun sabaa bhuul gai apnaa chalan bhi ab ke manzilon tak nazar aataa hai shikaston kaa ghubaar saath deti nahin aise mein thakan bhi ab ke munsalik ek hi rishte mein na ho jaae kahin tire maathe tire bistar ki shikan bhi ab ke be-gunaahi ke libaade ko utaaro bhi 'nasir' raas aa jaae agar jurm-e-sukhan bhi ab ke"
Naseer TurabiNaseer Turabi
Quote
"rache-base hue lamhon se jab hisaab huaa gae dinon ki ruton kaa ziyaan savaab huaa guzar gayaa to pas-e-mauj be-kanaari thi Thahar gayaa to vo dariyaa mujhe saraab huaa supurdagi ke taqaaze kahaan kahaan se paDhun hunar ke baab mein paikar tiraa kitaab huaa har aarzu miri aankhon ki raushni Thahri charaagh soch mein gum hain ye kyaa azaab huaa kuchh ajnabi se lage aashnaa dariche bhi kiran kiran jo ujaalon kaa ehtisaab huaa vo yakh-mizaaj rahaa faaslon ke rishton se magar gale se lagaayaa to aab aab huaa vo peD jis ke tale ruuh gungunaati thi usi ki chhaanv se ab mujh ko ijtinaab huaa in aandhiyon mein kise mohlat-e-qayaam yahaan ki ek khema-e-jaan thaa so be-tanaab huaa salib-e-sang ho yaa pairahan ke rang 'nasir' hamaare naam se kyaa kyaa na intisaab huaa"
Naseer TurabiNaseer Turabi
Quote
"sukut-e-shaam se ghabraa na jaae aakhir tu mire dayaar se guzri jo ai kiran phir tu libaas-e-jaan mein nahin sho'lagi kaa rang magar jhulas rahaa hai mire saath kyuun ba-zaahir tu vafaa-e-vaada-o-paimaan kaa e'tibaar bhi kyaa ki main to saahab-e-imaan huun aur munkir tu mire vujud mein ik be-zabaan samundar hai utar ke dekh safine se meri khaatir tu main shaakh-e-sabz nahin mahram-e-sabaa bhi nahin mire fareb mein kyuun aa gayaa hai taair tu isi umiid pe jalte hain raaston mein charaagh kabhi to lauT ke aaegaa ai musaafir tu"
Naseer TurabiNaseer Turabi
Quote
"injil-e-raftagaan ki hadison ke saath huun isaa-nafas huun aur salibon ke saath huun paaband-e-rang-o-naqsh huun tasvir ki tarah main be-hijaab apne hijaabon ke saath huun auraaq-e-aarzu pe ba-unvaan-e-jaan-kani main be-nishaan si chand lakiron ke saath huun shaayad ye intizaar ki lau faisla kare main apne saath huun ki darichon ke saath huun tu fath-mand meraa taraashaa huaa sanam main but-taraash apni shikaston ke saath huun mauj-e-sabaa ki zad pe sar-e-rahguzaar-e-shauq main bhi 'nasir' ghar ke charaaghon ke saath huun"
Naseer TurabiNaseer Turabi
Quote
"koi aavaaz na aahaT na khayaal aise mein raat mahki hai magar ji hai niDhaal aise mein mere atraaf to girti hui divaarein hain saaya-e-umr-e-ravaan mujh ko sambhaal aise mein jab bhi chaDhte hue dariyaa mein safina utraa yaad aayaa tire lahje kaa kamaal aise mein aankh khulti hai to sab khvaab bikhar jaate hain sochtaa huun ki bichhaa duun koi jaal aise mein muddaton baad agar saamne aae ham tum dhundle dhundle se mileinge khad-o-khaal aise mein hijr ke phuul mein hai dard ki baasi khushbu mausam-e-vasl koi taaza malaal aise mein"
Naseer TurabiNaseer Turabi
Quote
"sabaa kaa narm saa jhonkaa bhi taaziyaana huaa ye vaar mujh pe huaa bhi to ghaaebaana huaa usi ne mujh pe uThaae hain sang jis ke liye main paash paash huaa ghar nigaar-khaana huaa jhulas rahaa thaa badan garmi-e-nafas se magar tire khayaal kaa khurshid shaamiyaana huaa khud apne hijr ki khvaahish mujhe aziiz rahi ye tere vasl kaa qissa to ik bahaana huaa khudaa ki sard-mizaaji samaa gai mujh mein miri talaash kaa saudaa payambaraana huaa main ik shajar ki tarah rah-guzar mein Thahraa huun thakan utaar ke tu kis taraf ravaana huaa vo shakhs jis ke liye sher kah rahaa huun 'nasir' ghazal sunaae hue us ko ik zamaana huaa"
Naseer TurabiNaseer Turabi
Quote
"marham-e-vaqt na ejaaz-e-masihaai hai zindagi roz nae zakhm ki gahraai hai phir mire ghar ki fazaaon mein huaa sannaaTaa phir dar-o-baam se andesha-e-goyaai hai tujh se bichhDun to koi phuul na mahke mujh mein dekh kyaa karb hai kyaa zaat ki sachchaai hai teraa manshaa tire lahje ki dhanak mein dekhaa tiri aavaaz bhi shaayad tiri angDaai hai kuchh ajab gardish-e-parkaar safar rakhtaa huun do-qadam mujh se bhi aage miri rusvaai hai kuchh to ye hai ki miri raah judaa hai tujh se aur kuchh qarz bhi mujh par tiri tanhaai hai kis liye mujh se gurezaan hai mire saamne tu kyaa tiri raah mein haail miri binaai hai vo sitaare jo chamakte hain tire aangan mein un sitaaron se to apni bhi shanaasaai hai jis ko ik umr ghazal se kiyaa mansub 'nasir' us ko parkhaa to khulaa qaafiya-paimaai hai"
Naseer TurabiNaseer Turabi
Quote
"main bhi ai kaash kabhi mauj-e-sabaa ho jaaun is tavaqqo pe ki khud se bhi judaa ho jaaun abr uTThe to simaT jaaun tiri aankhon mein dhuup nikle to tire sar ki ridaa ho jaaun aaj ki raat ujaale mire ham-saaya hain aaj ki raat jo so luun to nayaa ho jaaun ab yahi soch liyaa dil mein ki manzil ke baghair ghar palaT aauun to main aabla-paa ho jaaun phuul ki tarah mahaktaa huun tiri yaad ke saath ye alag baat ki main tujh se khafaa ho jaaun jis ke kuche mein baraste rahe patthar mujh par us ke haathon ke liye rang-e-hinaa ho jaaun aarzu ye hai ki taqdis-e-hunar ki khaatir tere honTon pe rahun hamd-o-sanaa ho jaaun marhala apni parastish kaa ho darpesh to main apne hi saamne maail-ba-duaa ho jaaun tisha-e-vaqt bataae ki taaaruf ke liye kin pahaaDon ki bulandi pe khaDaa ho jaaun haae vo log ki main jin kaa pujaari huun 'nasir' haae vo log ki main jin kaa khudaa ho jaaun"
Naseer TurabiNaseer Turabi