SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals bySahir Dehlavi(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"ayaan ho rang mein aur misl-e-bu gul mein nihaan bhi ho jahaan-e-jaan hue gul-pairahan jaan-e-jahaan bhi ho makin kaunain mein ho fil-haqiqat laa-makaan bhi ho azal se taa-abad qaaem ayaan bhi ho nihaan bhi ho par-e-parvaaz-e-anqaa laaeinge gar laa-makaan bhi ho tumhein ham DhunDh laaeinge kahin bhi ho jahaan bhi ho kahaan hain hazrat-e-isaa kahaan hain hazrat-e-musaa ayaan eajaaz mein ho aur tajalli mein nihaan bhi ho ghashi ho aur ghashi mein hosh bhi kuchh kuchh rahe baaqi vo husn-e-laa-yazaali kuchh ayaan bhi kuchh nihaan bhi ho jalaanaa maarnaa eajaaz hai us chashm-e-pur-fan kaa hayaat-e-jaavidaan ho aur marg-e-naa-gahaan bhi ho jo aankhein hon to husn-o-ishq ki surat nazar aae ayaan ho rang-e-gul mein saut-e-bulbul mein nihaan bhi ho yahaan dair-o-haram mein ho vahaan mai-khaane mein 'saahir' barahman ho janaab-e-shaikh ho pir-e-mughaan bhi ho"
Sahir DehlaviSahir Dehlavi
Quote
"darmiyaan-e-jism-o-jaan hai ik ajab surat ki aaD mujh ko dil ki dil ko hai meri anaaniyat ki aaD aa gayaa tark-e-khudi kaa gar kabhi bhule se dhyaan dil ne paidaa ki har ek jaanib se har surat ki aaD dete hain dil ke evaz vo dard bahr-e-imtihaan lete hain naam-e-khudaa apni tamaaniyyat ki aaD nafs-parvar karte hain badnaam naam-e-mai-kashi parda-e-pindaar mein lete hain kaifiyyat ki aaD parda-daari chashm-e-naa-mahram se thi madd-e-nazar darmiyaan mein Daal di hai nuur ne hairat ki aaD didani jo kuchh hai jalva dekh chashm-e-paak mein nuur ne vahdat mein rah kar li hai kyuun kasrat ki aaD jab nihaan-o-aashkaaraa jalva-e-jaanaana hai sab riyaa-kaari hai saahir khalvat-o-jalvat ki aaD"
Sahir DehlaviSahir Dehlavi
Quote
"jalaa hai kis qadar dil zauq-e-kaavish-haa-e-mizhgaan par ki sau sau nashtaron ki nok hai ik ik rag-e-jaan par paDaa hogaa magar aks-e-ezaar-e-laala-gun varna ye gustaakhi hamaaraa khuun aur qaatil ke daamaan par tariq-e-ishq mein hai ranj pahle aur khushi pichhe madaar-e-subh roz-e-vasl hai ik shaam-e-hijraan par miri divaangi roz-e-qayaamat mere kaam aai qalam rahmat kaa khinchaa us ne aakhir mere isyaan par agar un ke taghaaful ko hai daavaa apni tamkin kaa hamaari khud-faraamoshi ko hai naaz apne nisyaan par"
Sahir DehlaviSahir Dehlavi
Quote
"fazaa-e-aalam-e-qudsi mein hai nashv-o-numaa meri mukaafaat-e-amal se duur hai bim-o-rajaa meri shariat hai azal se mohr-e-paimaan-e-vafaa meri tariqat khaatim-e-ehraam-e-taslim-o-razaa meri haqiqat hai savaad-e-khaatir-e-be-muddaaa meri harim-e-maarifat-daa maa-kadar khud naa-safaa meri tiri zaat-e-muqaddas hai mubarraa shirk-e-ghairi se ki nur-e-zaat mein saaya-sifat hasti hai laa meri jamaal-e-laa-yazaali shash-jihat se runumaa dekhaa bani aaina-daar-e-husn chashm-e-haq-numaa meri kisi kaa husn tur-afroz mahv-e-lan-taraani hai dalil nisti hai hasti-e-ishq-o-fanaa meri shuhud-e-haq hai maa-bain-e-ghuyub ik jalva-e-qudrat hayaat-e-jaavidaan hai ibtidaa aur intihaa meri azal se mahv-e-didaar-e-jamaal-e-jalva-aaraa huun nazar bil-ghair ho gar ho nazar mein maa-sivaa meri hadis-e-ishq baalaa-tar hai harf-o-saut se 'saahir' kahaan main aur kahaan taqdir-e-fikr-e-naa-rasaa meri"
Sahir DehlaviSahir Dehlavi
Quote
"rusvaa-e-ishq mein tiraa shaidaa kahein jise ushshaaq mein misaal hai rusvaa kahein jise siina chaman hai ghuncha-e-dil hai shagufta-dil teri nigaah hai chaman-aaraa kahein jise gham parvarida hai dil-e-shoridgaan-e-ishq furqat ki ek raat hai duniyaa kahein jise mansub kufr dair se imaan haram se hai ik rah gayaa huun main ki tumhaaraa kahein jise ham ghair-mo'tabar sahi aur ghair mo'atabar kahnaa bajaa hai aap kaa jaisaa kahein jise 'saahir' nafas vo daam hai jis mein ki hai asiir mauj-e-dam-e-khayaal ki anqaa kahein jise"
Sahir DehlaviSahir Dehlavi
Quote
"makaan kahin to muqarrar ho laa-makaan ke liye nishaan kahin to muayyan ho be-nishaan ke liye milaa hai jism hamein imtiyaaz-e-jaan ke liye bashar vajud mein aayaa hai imtihaan ke liye nigaah vaqf-e-jamaal-o-khayaal mahv-e-jalaal rah-e-fanaa mein hain do naqsh-e-paa nishaan ke liye muhit-e-ishq ki maujein hain iztiraab-o-sukun ki madd-o-jazr bane bahr-e-bekaraan ke liye huzur-e-qalb hai sarmaaya-e-hayaat-e-davaam nafas hai khizr miraa umr-e-jaavedaan ke liye miri namaaz ko bahr-e-vuzu hai jaam-e-tuhur salaa-e-saaqi-e-kausar hai bas azaan ke liye hamaare dil mein yaqin ko mili hai gunjaaish ki bas hai vusat-e-kaun-o-makaan gumaan ke liye chali jo saahil-e-umr-e-ravaan se kashti-e-tan nafas se kaam mashiyyat ne baadbaan ke liye huaa ye shoala-zabaani se shama ki raushan ki mom ho hama-tan aatishin bayaan ke liye miri nazar mein hai ism-o-sifat ki jalvagari zabaan-e-haal hai shaahid mire bayaan ke liye kahaa ye rahmat-e-baari ne hai ye haq se baiid ki vaqf ho koi jalva kisi makaan ke liye ayaan ye husn-e-khud-aaraa ki khud-numaai hai ki nur-e-ain hai chashm-e-jahaaniyaan ke liye farogh-e-ilm se raushan hai sham-e-bazm-e-sukhan salaa-e-aam hai yaaraan-e-nukta-daan ke liye baqaa-e-zaat mein hai maa-sivaa fanaa 'saahir' ye dil pe naqsh hai taaviz hirz-e-jaan ke liye"
Sahir DehlaviSahir Dehlavi
Quote
"jasad ne jaan se puchhaa ki qalb-e-be-riyaa kyaa hai khitaab aayaa ki aaine mein jauhar ke sivaa kyaa hai ayaan aaine mein hai surat-e-maani-safaa kyaa hai nihaan taskin mein hai iztiraab-e-dil riyaa kyaa hai miTaanaa aap ko naabud ho jaanaa fanaa kyaa hai samaanaa aap mein aur khud ba-khud honaa baqaa kyaa hai do-aalam jalva-gaah-e-husn mein ain-e-basirat mein ye aks-e-shakhs hai aaine mein surat-numaa kyaa hai vo yaktaa zaat hai ain-e-surur-e-ilm-o-haq ai dil nihaan kasrat mein vahdat ho gai hai maa-sivaa kyaa hai qidam hai zaat-e-vaahid haal hai mazi-o-mustaqbil azal se taa abad ki ibtidaa kyaa intihaa kyaa hai miTaa kar dil se pindaar-e-khudi insaaf se dekho ki be-zauq-e-tamannaa hasti-e-bim-o-rajaa kyaa hai na the aape mein muusi varna un kaa hausla kyaa thaa jo bol uThte ki aa parda se baahar dekhtaa kyaa hai tajalli ban gai 'saahir' naqaab-e-ru-e-jaan-e-jaan ki didan hukm-e-naa-didan hai yaarab maajraa kyaa hai"
Sahir DehlaviSahir Dehlavi
Quote
"dil ko yaksui ne di tark-e-taalluq ki salaah ai umid-e-vasl-e-jaanaan kyaa hai ab teri salaah jab jafaa-ju ne taghaaful se bhi ki qat-e-nazar ho razaa-e-yaar par shaakir ye hai dil ki salaah hosh mein jalva dikhaane se agar hai us ko aar hai vidaa-e-hosh ki har haal mein apni salaah naqd-e-jaan dildaar kartaa hai talab main kyaa karun bandagi bechaargi par ab to hai meri salaah manzil-e-ishq-o-fanaa karni hai tai sar-taa-ba-sar shama ke maanind jal bujhne ki hai meri salaah saaf kahtaa hai ki tu neki kar aur dariyaa mein Daal dil miraa detaa hai mujh ko aaj neki ki salaah be tamannaai mein 'saahir' main huun har-dam mere saath duur kar dil se tamannaa hai ye jaanaan ki salaah"
Sahir DehlaviSahir Dehlavi
Quote
"taqve ke liye jannat-o-kausar hue makhsus rindi ke liye shisha-o-saaghar hue makhsus paabandi-e-ahkaam-e-shariat hai vahaan farz rindon ko rukh-e-saaqi-o-saaghar hue makhsus qaaem hai vahaan diin bhi duniyaa bhi ba-ummid ham ko karam-e-rahmat-e-daavar hue makhsus shekhi hai vahaan jubba-o-dastaar pe mauquf rindi ko yahaan tark-e-tan-o-sar hue makhsus hai kashf-o-karaamaat vahaan maaya-e-pindaar saudaa aur ziyaan ham ko baraabar hue makhsus hain khirqa-o-ammaama vahaan pir-e-tariqat yaan kufr-o-sanam haadi-o-rahbar hue makhsus mauquf jo imaan pe rahe masjid-o-mimbar 'saahir' ko sanam-khaana-o-saaghar hue makhsus"
Sahir DehlaviSahir Dehlavi