Shayari
jinhein ye fikr nahin sar rahe rahe na rahe
vo sach hi kahte hain jab bolne pe aate hain
ham se 'aabid' apne rahbar ko shikaayat ye rahi
aankh munde un ke pichhe chalne vaale ham nahin
ہم سے عابدؔ اپنے رہبر کو شکایت یہ رہی
آنکھ موندے ان کے پیچھے چلنے والے ہم نہیں
हम से 'आबिद' अपने रहबर को शिकायत ये रही
आँख मूँदे उन के पीछे चलने वाले हम नहीं

jinhein ye fikr nahin sar rahe rahe na rahe
vo sach hi kahte hain jab bolne pe aate hain
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
zamaana mujh se judaa ho gayaa zamaana huaa
rahaa hai ab to bichhaDne ko mujh se tu baaqi
safar mein aise kai marhale bhi aate hain
har ek moD pe kuchh log chhuT jaate hain
jahaan pahunch ke qadam Dagmagaae hain sab ke
usi maqaam se ab apnaa raastaa hogaa
amir-e-kaarvaan hai tang ham se
hamaaraa raastaa sab se alag hai