Shayari
dard kaa silsila hai jahaan tak
dil ki jaagir hogi vahaan tak
naam-levaa tumhaaraa hai 'tarzi'
aadmi ki tarah milo pyaare
نام لیوا تمہارا ہے طرزیؔ
آدمی کی طرح ملو پیارے
नाम-लेवा तुम्हारा है 'तरज़ी'
आदमी की तरह मिलो प्यारे

dard kaa silsila hai jahaan tak
dil ki jaagir hogi vahaan tak
teri yaadon ke lamhe bhi bedard the
tujh ko mujh se churaate rahe raat-bhar
is kashmakash mein teri gali se pare rahe
aae kahaan pe harf kahaan par na aae harf
ik qayaamat hai aap kaa vaada
chaliye ye bhi azaab ho jaae
himmat-e-tark-e-vafaa Duub gai
kis ne aankhon mein utaaraa dariyaa
kyaa yahaan dekhiye kyaa vahaan dekhiye
aap hi aap hain ab jahaan dekhiye
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
khulaa fareb-e-mohabbat dikhaai detaa hai
ajab kamaal hai us bevafaa ke lahje mein
yuun agar jhagDaa mohabbat kaa chuke to khuub hai
ham ziyaada chaahein vo ai 'mehr' kam chaahaa karein
paas-e-aadaab-e-husn-e-yaar rahaa
ishq mere liye adiib huaa
bahut mushkil zamaanon mein bhi ham ahl-e-mohabbat
vafaa par ishq ki buniyaad rakhnaa chaahte hain