Shayari
dard kaa silsila hai jahaan tak
dil ki jaagir hogi vahaan tak
is kashmakash mein teri gali se pare rahe
aae kahaan pe harf kahaan par na aae harf
اس کشمکش میں تیری گلی سے پرے رہے
آئے کہاں پہ حرف کہاں پر نہ آئے حرف
इस कश्मकश में तेरी गली से परे रहे
आए कहाँ पे हर्फ़ कहाँ पर न आए हर्फ़

dard kaa silsila hai jahaan tak
dil ki jaagir hogi vahaan tak
teri yaadon ke lamhe bhi bedard the
tujh ko mujh se churaate rahe raat-bhar
naam-levaa tumhaaraa hai 'tarzi'
aadmi ki tarah milo pyaare
ik qayaamat hai aap kaa vaada
chaliye ye bhi azaab ho jaae
himmat-e-tark-e-vafaa Duub gai
kis ne aankhon mein utaaraa dariyaa
kyaa yahaan dekhiye kyaa vahaan dekhiye
aap hi aap hain ab jahaan dekhiye
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
gul kiyaa jis ne vo thaa aur magar
shama ne shikva havaaon se kiyaa
janaaza rok kar meraa vo is andaaz se bole
gali ham ne kahi thi tum to duniyaa chhoDe jaate ho
bahaar-e-nau ki phir hai aamad aamad
chaman ujDaa koi phir ham-nafas kyaa