Shayari
ai buton allaah se li hai ijaazat vasl ki
kal hazaaron dekh Daale istikhaare raat ko
paas-e-aadaab-e-husn-e-yaar rahaa
ishq mere liye adiib huaa
پاس آداب حسن یار رہا
عشق میرے لیے ادیب ہوا
पास-ए-आदाब-ए-हुस्न-ए-यार रहा
इश्क़ मेरे लिए अदीब हुआ

ai buton allaah se li hai ijaazat vasl ki
kal hazaaron dekh Daale istikhaare raat ko
hai ye purab ki zabaan-daani 'mehr'
kahte hain baat ko ham suntaa huun
kaabe mein ham ko dair kaa har dam khayaal thaa
allaah jaantaa hai buton kaa rahaa lihaaz
dar-ba-dar maaraa-phiraa main justuju-e-yaar mein
zaahid-e-kaaba huaa rahbaan-e-but-khaana huaa
ye hind hai ai 'mehr' yahaan puuj buton ko
kyuun barahman-e-dair-o-kalisaa nahin honaa
gul baang thi gulon ki hamaaraa taraana thaa
apnaa bhi is chaman mein kabhi aashiyaana thaa
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
tark-e-mohabbat tauba tauba
ye meraa imaan nahin hai
kabhi na husn-o-mohabbat mein ban saki 'vaahid'
vo apne naaz mein ham apne baankpan mein rahe
ulfat ne tiri ham ko to rakkhaa na kahin kaa
dariyaa kaa na jangal kaa samaa kaa na zamin kaa
saf-ba-saf teri mohabbat ne sanbhaalaa ham ko
aur ham TuuT ke bikhre bhi to yakjaai rahi