Shayari
aisi duniyaa mein kab tak guzaaraa karein tum hi kah do ki kaise gavaaraa karein
raat mujh se miri bebasi ne kahaa bebasi ke liye ek taaza ghazal
sahar kaa ujaalaa bhi maddham paDe
jo aankhon mein vo shab bitaa kar chale
سحر کا اجالا بھی مدھم پڑے
جو آنکھوں میں وہ شب بتا کر چلے
सहर का उजाला भी मद्धम पड़े
जो आँखों में वो शब बिता कर चले
aisi duniyaa mein kab tak guzaaraa karein tum hi kah do ki kaise gavaaraa karein
raat mujh se miri bebasi ne kahaa bebasi ke liye ek taaza ghazal
har ek shaakh pe viraaniyaan musallat hain
badan-darakht bhi goyaa hai aashiyaan-e-shab
shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
yahi duniyaa thi magar aaj bhi yuun lagtaa hai
jaise kaaTi hon tire hijr ki raatein kahin aur
raat hi raat chale jaao mire ham-safaro
subh mumkin hai yahi dasht hi maqtal ho jaae
main khush nahin huun bahut duur us se hone par
jo main nahin thaa to us par shabaab kyuun aayaa