Shayari
bas ek baar manaayaa thaa jashn-e-mahrumi
phir us ke baad koi ibtilaa nahin aai
ek aaina ru-ba-ru hai abhi
us ki khushbu se guftugu hai abhi
ایک آئینہ رو بہ رو ہے ابھی
اس کی خوشبو سے گفتگو ہے ابھی
एक आईना रू-ब-रू है अभी
उस की ख़ुश्बू से गुफ़्तुगू है अभी

bas ek baar manaayaa thaa jashn-e-mahrumi
phir us ke baad koi ibtilaa nahin aai
na bahlaavaa na samjhautaa judaai si judaai hai
'adaa' socho to khushbu kaa safar aasaan nahin hotaa
main aandhiyon ke paas talaash-e-sabaa mein huun
tum mujh se puchhte ho miraa hausla hai kyaa
hamaare shahr ke logon kaa ab ahvaal itnaa hai
kabhi akhbaar paDh lenaa kabhi akhbaar ho jaanaa
agar sach itnaa zaalim hai to ham se jhuuT hi bolo
hamein aataa hai patjhaD ke dinon gul-baar ho jaanaa
varna insaan mar gayaa hotaa
koi be-naam justuju hai abhi
aisi duniyaa mein kab tak guzaaraa karein tum hi kah do ki kaise gavaaraa karein
raat mujh se miri bebasi ne kahaa bebasi ke liye ek taaza ghazal
har ek shaakh pe viraaniyaan musallat hain
badan-darakht bhi goyaa hai aashiyaan-e-shab
shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
ghairon se to fursat tumhein din raat nahin hai
haan mere liye vaqt-e-mulaaqaat nahin hai
baal apne us pari-ru ne sanvaare raat bhar
saanp loTe saikDon dil par hamaare raat bhar
vaaqif nahin ki paanv mein paDti hain beDiyaan
dulhe ko ye khushi hai ki meri baraat hai