Shayari
buraa ho yaa-ilaahi dil-lagi kaa
ghaTaa ki umr aur ulfat baDhaa ki
A
Agha Mohammad Taqi Khan Taraqqijise ishrat-kada-e-dahr samajhtaa thaa main
aakhir-e-kaar vo ik khvaab-e-pareshaan niklaa
جسے عشرت کدہ دہر سمجھتا تھا میں
آخر کار وہ اک خواب پریشاں نکلا
जिसे इशरत-कदा-ए-दहर समझता था मैं
आख़िर-ए-कार वो इक ख़्वाब-ए-परेशाँ निकला
buraa ho yaa-ilaahi dil-lagi kaa
ghaTaa ki umr aur ulfat baDhaa ki
duniyaa ke jo maze hain hargiz vo kam na honge
charche yunhi raheinge afsos ham na honge
yaktaai pe hai naaz to itnaa bhi rahe yaad
tum saa mujhe to tum ko bhi mujh saa na milegaa
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
hasin khvaab ko sachchaa samajh rahaa hai koi
faqat gumaan ko duniyaa samajh rahaa hai koi
suntaa huun baDe ghaur se afsaana-e-hasti
kuchh khvaab hai kuchh asl hai kuchh tarz-e-adaa hai
hal kar liyaa majaaz haqiqat ke raaz ko
paai hai main ne khvaab ki taabir khvaab mein
guzar rahaa huun kisi khvaab ke ilaaqe se
zamin sameTe hue aasmaan uThaae hue
ik khayaal-o-khvaab hai a 'shor' ye bazm-e-jahaan
yaar aur jaam-o-subu sab kuchh hai aur phir kuchh nahin