Shayari
khoyaa hai kuchh zarur jo us ki talaash mein
har chiiz ko idhar se udhar kar rahe hain ham
jahaan-e-ishq se ham sarsari nahin guzre
ye vo jahaan hai jahaan sarsari nahin koi shai
جہان عشق سے ہم سرسری نہیں گزرے
یہ وہ جہاں ہے جہاں سرسری نہیں کوئی شے
जहान-ए-इश्क़ से हम सरसरी नहीं गुज़रे
ये वो जहाँ है जहाँ सरसरी नहीं कोई शय

khoyaa hai kuchh zarur jo us ki talaash mein
har chiiz ko idhar se udhar kar rahe hain ham
dukh ke safar pe dil ko ravaana to kar diyaa
ab saari umr haath hilaate raheinge ham
koi tasvir mukammal nahin hone paati
dhuup dete hain to saayaa nahin rahne dete
mohabbat mar gai 'mushtaaq' lekin tum na maanoge
main ye afvaah bhi tum ko sunaa kar dekh letaa huun
tire aane kaa din hai tere raste mein bichhaane ko
chamakti dhuup mein saae ikaTThe kar rahaa huun main
paani mein aks aur kisi aasmaan kaa hai
ye naav kaun si hai ye dariyaa kahaan kaa hai
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
'nabil' is ishq mein tum jiit bhi jaao to kyaa hogaa
ye aisi jiit hai pahlu mein jis ke haar chalti hai
shaaeri ishq gham rizq kitaabein ghar-baar
kitni samton mein ba-yak-vaqt guzar hai meraa
meri miTTi mein mohabbat hi mohabbat hai 'nabil'
chhu ke dekho to sahi haath lagaao to sahi
aane vaalon ki mohabbat hi bahut hai mujh ko
jaane vaalon se kahaan koi shikaayat hai mujhe