Shayari
umr lag jaati hai ik ghar ko banaane mein hamein
makaDiyaan roz hi bun leti hain jaale kaise
kyaa tujhe ilm nahin teri razaa ki khaatir
main ne kis kis ko zamaane mein khafaa rakkhaa hai
کیا تجھے علم نہیں تیری رضا کی خاطر
میں نے کس کس کو زمانے میں خفا رکھا ہے
क्या तुझे इल्म नहीं तेरी रज़ा की ख़ातिर
मैं ने किस किस को ज़माने में ख़फ़ा रक्खा है

umr lag jaati hai ik ghar ko banaane mein hamein
makaDiyaan roz hi bun leti hain jaale kaise
kisi ke lams ki taasir hai ki barson baad
miri kitaabon mein ab bhi gulaab jaagte hain
zamaane se mohabbat kaa abhi tak
ye haasil hai ki kuchh haasil nahin hai
jinhein ye fikr nahin sar rahe rahe na rahe
vo sach hi kahte hain jab bolne pe aate hain
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
maango samundaron se na saahil ki bhiik tum
haan fikr o fan ke vaaste gahraai maang lo
tere bin hayaat ki soch bhi gunaah thi
ham qarib-e-jaan tiraa hisaar dekhte rahe
us ko sochun to dhyaan mein mere
khushbu aati hai pahli baarish ki
gulaabon ke honTon pe lab rakh rahaa huun
use der tak sochnaa chaahtaa huun