Shayari
miThi baatein, kabhi talkh lahje ke tiir
dil pe har din hai un kaa karam bhi nayaa
tere bin hayaat ki soch bhi gunaah thi
ham qarib-e-jaan tiraa hisaar dekhte rahe
تیرے بن حیات کی سوچ بھی گناہ تھی
ہم قریب جاں ترا حصار دیکھتے رہے
तेरे बिन हयात की सोच भी गुनाह थी
हम क़रीब-ए-जाँ तिरा हिसार देखते रहे

miThi baatein, kabhi talkh lahje ke tiir
dil pe har din hai un kaa karam bhi nayaa
ho paae kisi ke ham bhi kahaan yuun koi hamaaraa bhi na huaa
kab Thahri kisi ik par bhi nazar kyaa chiiz hai shahr-e-khubaan bhi
mohmal hai na jaanein to, samjhein to vazaahat hai
hai ziist faqat dhokaa aur maut haqiqat hai
ab is tarah bhi rivaayat se inhiraaf na kar
badal agarche tu achchhaa na de, kharaab to de
Daal di pairon mein us shakhs ke zanjir yahaan
vaqt ne jis ko zamaane mein uchhalte dekhaa
kuchh tu hi bataa aakhir kyun-kar tire bandon par
har shab hai nai aafat har roz musibat hai
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
phir usi bevafaa pe marte hain
phir vahi zindagi hamaari hai
umr bhar dekhaa kiye marne ki raah
mar gae par dekhiye dikhlaaein kyaa
umr bhar jis ke liye peT se baandhe patthar
ab vo gin gin ke khilaataa hai nivaale mujh ko