Shayari
chaTak mein ghunche ki vo saut-e-jaan-fazaa to nahin
suni hai pahle bhi aavaaz ye kahin main ne
fareb-e-jalva kahaan tak ba-ru-e-kaar rahe
naqaab uThaao ki kuchh din zaraa bahaar rahe
فریب جلوہ کہاں تک بروئے کار رہے
نقاب اٹھاؤ کہ کچھ دن ذرا بہار رہے
फ़रेब-ए-जल्वा कहाँ तक ब-रू-ए-कार रहे
नक़ाब उठाओ कि कुछ दिन ज़रा बहार रहे

chaTak mein ghunche ki vo saut-e-jaan-fazaa to nahin
suni hai pahle bhi aavaaz ye kahin main ne
mujhi ko parda-e-hasti mein de rahaa hai fareb
vo husn jis ko kiyaa jalva-aafrin main ne
tum ne har zarre mein barpaa kar diyaa tufaan-e-shauq
ik tabassum is qadar jalvon ki tughyaani ke saath
guftugu-e-surat-o-maani hai unvaan-e-hayaat
khelte hain vo miri fitrat ki hairaani ke saath
sab se baDaa fareb hai khud zindagi 'adaa'
is hila-ju ke saath hain ham bhi bahaana-saaz
kisi kaa yuun to huaa kaun umr bhar phir bhi
ye husn o ishq to dhokaa hai sab magar phir bhi
maujud mere dil mein jo zakhmon ke daagh hain
vo ek bevafaa ke sitam ke charaagh hain
baDe vasuq se duniyaa fareb deti rahi
baDe khulus se ham e'tibaar karte rahe
'aarif'-husain dhokaa sahi apni zindagi
is zindagi ke baa'd ki haalat bhi hai fareb
jin kaa maqsad fareb hotaa hai
vo baDi saadgi se milte hain