Shayari
chaTak mein ghunche ki vo saut-e-jaan-fazaa to nahin
suni hai pahle bhi aavaaz ye kahin main ne
mujhi ko parda-e-hasti mein de rahaa hai fareb
vo husn jis ko kiyaa jalva-aafrin main ne
مجھی کو پردۂ ہستی میں دے رہا ہے فریب
وہ حسن جس کو کیا جلوہ آفریں میں نے
मुझी को पर्दा-ए-हस्ती में दे रहा है फ़रेब
वो हुस्न जिस को किया जल्वा-आफ़रीं मैं ने

chaTak mein ghunche ki vo saut-e-jaan-fazaa to nahin
suni hai pahle bhi aavaaz ye kahin main ne
tum ne har zarre mein barpaa kar diyaa tufaan-e-shauq
ik tabassum is qadar jalvon ki tughyaani ke saath
fareb-e-jalva kahaan tak ba-ru-e-kaar rahe
naqaab uThaao ki kuchh din zaraa bahaar rahe
guftugu-e-surat-o-maani hai unvaan-e-hayaat
khelte hain vo miri fitrat ki hairaani ke saath
us bevafaa kaa shahr hai aur vaqt-e-shaam hai
aaise mein aarzu baDi himmat kaa kaam hai
bevafaai kaa mujhe ilzaam detaa thaa vo shakhs
main ne bhi itnaa kiyaa bas us ko sachchaa kar diyaa
main kis tarah tujhe ilzaam-e-bevafaai duun
rah-e-vafaa mein tire naqsh-e-paa bhi milte hain
be-muravvat ho bevafaa ho tum
apne matlab ke aashnaa ho tum
kamar dhokaa dahan uqda ghazaal aankhein pari chehra
shikam hiiraa badan khushbu jabin dariyaa zabaan iisaa
fareb-e-saaqi-e-mahfil na puchhiye 'majruh'
sharaab ek hai badle hue hain paimaane