Shayari
nazar bachaa ke jo aansu kiye the main ne paak
khabar na thi yahi dhabbe baneinge daaman ke
us shaan-e-aajizi ke fidaa jis ne 'aarzu'
har naaz har ghurur ke qaabil banaa diyaa
اس شان عاجزی کے فدا جس نے آرزوؔ
ہر ناز ہر غرور کے قابل بنا دیا
उस शान-ए-आजिज़ी के फ़िदा जिस ने 'आरज़ू'
हर नाज़ हर ग़ुरूर के क़ाबिल बना दिया

nazar bachaa ke jo aansu kiye the main ne paak
khabar na thi yahi dhabbe baneinge daaman ke
khizaan kaa bhes banaa kar bahaar ne maaraa
mujhe do-rangi-e-lail-o-nahaar ne maaraa
aap apne se barhami kaisi
main nahin koi aur hai ye bhi
phir chaahe to na aanaa o aan baan vaale
jhuTaa hi vaada kar le sachchi zabaan vaale
hasraton kaa dil se qabza uTh gayaa
ghaasibon ki hukmraani khatm hai
jazb-e-nigaah-e-shoabada-gar dekhte rahe
duniyaa unhin ki thi vo jidhar dekhe rahe
miri tamannaa hai ab ke tum phir milo to ji bhar ke muskuraaein
ki dekhnaa hai ye raushni kaa safar bahut der baa'd jaa kar
bas ek pal ki tamannaa-e-vasl ki khaatir
tamaam 'umr lagaa di gai sanvarne mein
main ne phulon ki aarzu ki thi
aankh mein motiyaa utar aayaa!!
dil vo sahraa hai jahaan hasrat-e-saaya bhi nahin
dil vo duniyaa hai jahaan rang hai raanaai hai
ishq ki tamannaa thi ishq ki tamannaa hai
ishq hi ki raahon mein mastiyon kaa mela hai
use bhi jaate hue tum ne mujh se chhin liyaa
tumhaaraa gham to miri aarzu kaa zevar thaa