Shayari
itni zamin hi chaahiye bas mujh ko gaanv mein
jaa kar paDaa rahun main jahaan maan ke paanv mein
akelaa aa rahaa hai yaa unhein bhi saath laataa hai
zaraa puchho khabar to lo december kyaa bataataa hai
اکیلا آ رہا ہے یا انہیں بھی ساتھ لاتا ہے
ذرا پوچھو خبر تو لو دسمبر کیا بتاتا ہے
अकेला आ रहा है या उन्हें भी साथ लाता है
ज़रा पूछो ख़बर तो लो दिसम्बर क्या बताता है

itni zamin hi chaahiye bas mujh ko gaanv mein
jaa kar paDaa rahun main jahaan maan ke paanv mein
ham tire hijr mein yuun zard hue jaate hain
log takte hain to hamdard hue jaate hain
aati kab hai roz bulaanaa paDti hai
niind ki khaatir goli khaanaa paDti hai
iraade garche lahron ke baDe sadmaat vaale hain
ye dariyaa ko bataa denaa ki ham gujraat vaale hain
subh-e-nau ke vaaste bekaar huun
main guzishta roz kaa akhbaar huun
main adh-maraa gulaab sar-e-shaakh-e-nim-jaan
haathon se tu ne mujh ko sanvaaraa to main gayaa
mujhe dushman se apne ishq saa hai
main tanhaa aadmi ki dosti huun
raaz-e-sar-basta hai mahfil teri
jo samajh legaa vo tanhaa hogaa
haae vo baatein jo kah sakte nahin
aur tanhaai mein dohraate hain ham
baDh gai tujh se mil ke tanhaai
ruuh juyaa-e-ham-subu thi bahut
azm-e-mohkam ho to hoti hain balaaein paspaa
kitne tufaan palaT detaa hai saahil tanhaa
koi nahin hai mere jaisaa chaaron or
apne gird ik bhiiD sajaa kar tanhaa huun