Shayari
kab dard se dil ko taab aayaa
aankhon mein kahaan se khvaab aayaa
A
Ashraf Ali Fughanjugnu miyaan ki dum jo chamakti hai raat ko
sab dekh dekh us ko bajaate hain taaliyaan
جگنو میاں کی دم جو چمکتی ہے رات کو
سب دیکھ دیکھ اس کو بجاتے ہیں تالیاں
जुगनू मियाँ की दुम जो चमकती है रात को
सब देख देख उस को बजाते हैं तालियाँ
kab dard se dil ko taab aayaa
aankhon mein kahaan se khvaab aayaa
meri taraf se khaatir-e-sayyaad jamaa hai
kyaa uD sakegaa taair-e-be-baal-o-par kahin
mujh se jo puchhte ho to har haal shukr hai
yuun bhi guzar gai miri vuun bhi guzar gai
dil-bastagi qafas se yahaan tak hui mujhe
goyaa kabhi chaman mein meraa aashiyaan na thaa
ai shaikh agar kufr se islaam judaa hai
pas chaahiye tasbih mein zunnaar na hotaa
har ek shaakh pe viraaniyaan musallat hain
badan-darakht bhi goyaa hai aashiyaan-e-shab
aisi duniyaa mein kab tak guzaaraa karein tum hi kah do ki kaise gavaaraa karein
raat mujh se miri bebasi ne kahaa bebasi ke liye ek taaza ghazal
charaagh ki thartharaati lau mein har os qatre mein har kiran mein
tumhaari aankhein kahaan nahin thiin tumhaaraa chehra kahaan nahin thaa
shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
bataaun kis havaale se unhein bairaag kaa matlab
jo taare puchhte hain raat ko ghar kyuun nahin jaataa
basti mein hai vo sannaaTaa jangal maat lage
shaam Dhale bhi ghar pahunchun to aadhi raat lage