Shayari
meri taraf se khaatir-e-sayyaad jamaa hai
kyaa uD sakegaa taair-e-be-baal-o-par kahin
A
Ashraf Ali Fughankab dard se dil ko taab aayaa
aankhon mein kahaan se khvaab aayaa
کب درد سے دل کو تاب آیا
آنکھوں میں کہاں سے خواب آیا
कब दर्द से दिल को ताब आया
आँखों में कहाँ से ख़्वाब आया
meri taraf se khaatir-e-sayyaad jamaa hai
kyaa uD sakegaa taair-e-be-baal-o-par kahin
mujh se jo puchhte ho to har haal shukr hai
yuun bhi guzar gai miri vuun bhi guzar gai
jugnu miyaan ki dum jo chamakti hai raat ko
sab dekh dekh us ko bajaate hain taaliyaan
dil-bastagi qafas se yahaan tak hui mujhe
goyaa kabhi chaman mein meraa aashiyaan na thaa
ai shaikh agar kufr se islaam judaa hai
pas chaahiye tasbih mein zunnaar na hotaa
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
gham sabhi dil se rukhsat hue
dard be-intihaa rah gayaa
ye udaasi kaa sabab puchhne vaale 'ajmal'
kyaa kareinge jo udaasi kaa sabab batlaayaa
labon par tabassum to aankhon mein aansu thi dhuup ek pal mein to ik pal mein baarish
hamein yaad hai baaton baaton mein un kaa hansaanaa rulaanaa rulaanaa hansaanaa