Shayari
kahaa ye main ne bhalaa kab ki mat sazaa diije
magar qusur to mujh ko miraa bataa diije
shafaq huun suraj huun raushni huun
salib-e-gham par ubhar rahaa huun
شفق ہوں سورج ہوں روشنی ہوں
صلیب غم پر ابھر رہا ہوں
शफ़क़ हूँ सूरज हूँ रौशनी हूँ
सलीब-ए-ग़म पर उभर रहा हूँ

gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
muskuraane se gham hue the 'ayaan
aise ronaa hai ab ki shaad lagun
raah takte jism ki majlis mein sadiyaan ho gaiin
jhaank kar andhe kunein mein ab to koi bol de
lagtaa hai ki is dil mein koi qaid hai 'ashfaaq'
rone ki sadaa aati hai yaadon ke khanDar se