Shayari
apne liye hi mushkil hai
izzat se ji paanaa bhi
amn aur aashti se us ko kyaa
us kaa maqsad to intishaar mein hai
امن اور آشتی سے اس کو کیا
اس کا مقصد تو انتشار میں ہے
अम्न और आश्ती से उस को क्या
उस का मक़्सद तो इंतिशार में है

jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
nazar bachaa ke jo aansu kiye the main ne paak
khabar na thi yahi dhabbe baneinge daaman ke
vo dard huun koi chaara nahin hai jis kaa kahin
vo zakhm huun ki hai dushvaar indimaal miraa