Shayari
charaagh ki thartharaati lau mein har os qatre mein har kiran mein
tumhaari aankhein kahaan nahin thiin tumhaaraa chehra kahaan nahin thaa
chaand taare ik diyaa aur raat kaa komal badan
subh-dam bikhre paDe the chaar su meri tarah
چاند تارے اک دیا اور رات کا کومل بدن
صبح دم بکھرے پڑے تھے چار سو میری طرح
चाँद तारे इक दिया और रात का कोमल बदन
सुब्ह-दम बिखरे पड़े थे चार सू मेरी तरह

charaagh ki thartharaati lau mein har os qatre mein har kiran mein
tumhaari aankhein kahaan nahin thiin tumhaaraa chehra kahaan nahin thaa
roz dastak si koi detaa hai siine mein 'nabil'
roz mujh mein kisi aavaaz ke par khulte hain
khaamushi TuTegi aavaaz kaa patthar bhi to ho
jis qadar shor hai andar kabhi baahar bhi to ho
ek takhti amn ke paighaam ki
Taang diije unche minaaron ke beach
phir nae saal ki sarhad pe khaDe hain ham log
raakh ho jaaegaa ye saal bhi hairat kaisi
tumhaaraa saath agar ho to joD saktaa huun
vo silsila jo sar-e-daastaan TuuT gayaa
jhaankte raat ke garebaan se
ham ne sau aaftaab dekhe hain
shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
raushni ho rahi hai kuchh mahsus
kyaa shab aakhir tamaam ko pahunchi
aadhi se ziyaada shab-e-gham kaaT chukaa huun
ab bhi agar aa jaao to ye raat baDi hai
kahun ai zauq kyaa haal-e-shab-e-hijr
ki thi ik ik ghaDi sau sau mahine
bahut hasin raat hai magar tum to so rahe ho
nikal ke kamre se ik nazar chaandni to dekho