Shayari
hairat mein kyuun huzur hain aaina dekh kar
sach sach bataaiye ki numudaar kyaa huaa
B
Bartholomew Gardner Sabrshab bhar shab-e-visaal rahaa chaandni kaa lutf
soyaa lipaT ke vo mah-e-taabaan tamaam raat
شب بھر شب وصال رہا چاندنی کا لطف
سویا لپٹ کے وہ مہ تاباں تمام رات
शब भर शब-ए-विसाल रहा चाँदनी का लुत्फ़
सोया लिपट के वो मह-ए-ताबाँ तमाम रात
aisi duniyaa mein kab tak guzaaraa karein tum hi kah do ki kaise gavaaraa karein
raat mujh se miri bebasi ne kahaa bebasi ke liye ek taaza ghazal
shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
har ek shaakh pe viraaniyaan musallat hain
badan-darakht bhi goyaa hai aashiyaan-e-shab
hue khatm cigarette ab kyaa karein ham
hai pichhlaa pahar raat ke do baje hain
be-zabaan bhi to bataa detaa hai manzil kaa pataa
tai karaataa hai safar miil kaa patthar khaamosh
ji mein aataa hai ki phulon ki uDaa duun khushbu
rang uDaa laae hain zaalim tiri raanaai kaa