Shayari
na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
ik shaam ke saae tale baiThe rahe vo der tak
aankhon se ki baatein bahut munh se kahaa kuchh bhi nahin
اک شام کے سائے تلے بیٹھے رہے وہ دیر تک
آنکھوں سے کی باتیں بہت منہ سے کہا کچھ بھی نہیں
इक शाम के साए तले बैठे रहे वो देर तक
आँखों से की बातें बहुत मुँह से कहा कुछ भी नहीं

na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
bhuul shaayad bahut baDi kar li
dil ne duniyaa se dosti kar li
khudaa aise ehsaas kaa naam hai
rahe saamne aur dikhaai na de
hasin to aur hain lekin koi kahaan tujh saa
jo dil jalaae bahut phir bhi dilrubaa hi lage
khudaa ham ko aisi khudaai na de
ki apne sivaa kuchh dikhaai na de
khudaa ki itni baDi kaaenaat mein main ne
bas ek shakhs ko maangaa mujhe vahi na milaa
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
ghazal mein jab talak ehsaas ki shiddat na ho shaamil
faqat alfaaz ki kaarigari mahsus hoti hai
maarka garm to ho lene do khun-rezi kaa
pahle shamshir ke niche hamin jaa baiTheinge
parvaana gird ghuum ke jab ho chukaa fanaa
ab saari raat shama lagan mein jali to kyaa
ik daaimi sukun ki tamannaa hai raat din
tang aa gae hain gardish-e-shaam-o-sahar se ham
ab udaas phirte ho sardiyon ki shaamon mein
is tarah to hotaa hai is tarah ke kaamon mein