Shayari
pahle ham ne ghar banaa kar faasle paidaa kiye
phir uThaa diin aur divaarein gharon ke darmiyaan
tazkire mein tire ik naam ko yuun joD diyaa
doston ne mujhe shishe ki tarah toD diyaa
تذکرے میں ترے اک نام کو یوں جوڑ دیا
دوستوں نے مجھے شیشے کی طرح توڑ دیا
तज़्किरे में तिरे इक नाम को यूँ जोड़ दिया
दोस्तों ने मुझे शीशे की तरह तोड़ दिया

pahle ham ne ghar banaa kar faasle paidaa kiye
phir uThaa diin aur divaarein gharon ke darmiyaan
ham tere paas aa ke pareshaan hain bahut
ham tujh se duur rahne ko tayyaar bhi nahin
aagahi karb vafaa sabr tamannaa ehsaas
mere hi siine mein utre hain ye khanjar saare
chale bhi aao ki ye Dubtaa huaa suraj
charaagh jalne se pahle mujhe bujhaa degaa
ajab si aag thi jaltaa rahaa badan saaraa
tamaam umr vo honTon pe ban ke pyaas rahaa
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
furqat ki raat vasl ki shab kaa maza milaa
pahron khayaal-e-yaar se baatein kiyaa kiye
kyunkar baDhaaun rabt na darbaan-e-yaar se
aakhir koi to milne ki tadbir chaahiye
hamaare marg pe shaadi abas aghyaar karte hain
jahaan se rafta-rafta ek din un ko bhi jaanaa hai
rail par yaar aaegaa shaayad
muzhda-e-vasl aaj taar mein hai
tum ho mujh se hazaar mustaghni
dil nahin meraa yaar mustaghni