Shayari
hasin yaadein vo bachpan ki kahin dil se na kho jaaein
main apne aashiyaane mein khilaune ab bhi rakhtaa huun
tum mire paas jab nahin hote
dhaDkanein ehtijaaj karti hain
تم مرے پاس جب نہیں ہوتے
دھڑکنیں احتجاج کرتی ہیں
तुम मिरे पास जब नहीं होते
धड़कनें एहतिजाज करती हैं

hasin yaadein vo bachpan ki kahin dil se na kho jaaein
main apne aashiyaane mein khilaune ab bhi rakhtaa huun
ik bevafaa ke pyaar mein had se guzar gae
kaafir ke pyaar ne hamein kaafir banaa diyaa
apni kamar se aap hi baandhe safar tamaam
phir yuun huaa ki main kabhi apnaa nahin banaa
yuun mohabbat ko umr-bhar paDhnaa
zindagi imtihaan ho jaise
jise manzil samajh kar ruk gae ham
vahin se apnaa aaghaaz-e-safar thaa
zindagi fan nahin madaari kaa
paaniyon se diye nahin jalte