Shayari
ek din vo din the rone pe hansaa karte the ham
ek ye din hain ki ab hansne pe ronaa aae hai
na apne zabt ko rusvaa karo sataa ke mujhe
khudaa ke vaaste dekho na muskuraa ke mujhe
نہ اپنے ضبط کو رسوا کرو ستا کے مجھے
خدا کے واسطے دیکھو نہ مسکرا کے مجھے
न अपने ज़ब्त को रुस्वा करो सता के मुझे
ख़ुदा के वास्ते देखो न मुस्कुरा के मुझे

ek din vo din the rone pe hansaa karte the ham
ek ye din hain ki ab hansne pe ronaa aae hai
ik ghalat sajde se kyaa hotaa hai vaaiz kuchh na puchh
umr bhar ki sab riyaazat khaak mein mil jaae hai
ye zindagi bhi koi zindagi hui 'bismil'
na ro sake na kabhi hans sake Thikaane se
aazaadi ne baazu bhi salaamat nahin rakkhe
ai taaqat-e-parvaaz tujhe laaein kahaan se
ye kah ke deti jaati hai taskin shab-e-firaaq
vo kaun si hai raat ki jis ki sahar na ho
kyaa karein jaam-o-subu haath pakaD lete hain
ji to kahtaa hai ki uTh jaaiye mai-khaane se