Shayari
itne kam-zarf nahin ham jo bahakte jaavein
misl-e-gul jaavein jidhar jaavein mahakte jaavein
D
Dulhan Begumjaa phansaa dil zulf mein ab soiye
shaam ke murde ko kab tak Dhoiye
جا پھنسا دل زلف میں اب سوئیے
شام کے مردہ کو کب تک ڈھویئے
जा फँसा दिल ज़ुल्फ़ में अब सोइए
शाम के मुर्दे को कब तक ढोईए
itne kam-zarf nahin ham jo bahakte jaavein
misl-e-gul jaavein jidhar jaavein mahakte jaavein
din kaTaa fariyaad se aur raat zaari se kaTi
umr kaTne ko kaTi par kitni khvaari se kaTi
mat karo fikr imaarat ki koi zer-e-falak
khaana-e-dil jo giraa hai use taamir karo
bahaa hai phuuT ke aankhon se aabla dil kaa
tari ki raah se jaataa hai qaafila dil kaa
bayaan main kis se karun jaa ke ab gila dil kaa
ye dil kaa dil hi mein hovegaa faisla dil kaa
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
ghuTan to dil ki rahi qasr-e-marmarin mein bhi
na raushni se huaa kuchh na kuchh havaa se huaa
tumhaare naam pe dil ab bhi ruk saa jaataa hai
ye baat vo hai ki is se mafar nahin hotaa
hijr ki baat yaa visaal ki baat
dil ne phir ki tire malaal ki
tum maslahat kaho yaa munaafiq kaho mujhe
dil mein magar ghubaar bahut der tak rahaa