Shayari
itne kam-zarf nahin ham jo bahakte jaavein
misl-e-gul jaavein jidhar jaavein mahakte jaavein
D
Dulhan Begummat karo fikr imaarat ki koi zer-e-falak
khaana-e-dil jo giraa hai use taamir karo
مت کرو فکر عمارت کی کوئی زیر فلک
خانۂ دل جو گرا ہے اسے تعمیر کرو
मत करो फ़िक्र इमारत की कोई ज़ेर-ए-फ़लक
ख़ाना-ए-दिल जो गिरा है उसे ता'मीर करो
itne kam-zarf nahin ham jo bahakte jaavein
misl-e-gul jaavein jidhar jaavein mahakte jaavein
din kaTaa fariyaad se aur raat zaari se kaTi
umr kaTne ko kaTi par kitni khvaari se kaTi
bahaa hai phuuT ke aankhon se aabla dil kaa
tari ki raah se jaataa hai qaafila dil kaa
bayaan main kis se karun jaa ke ab gila dil kaa
ye dil kaa dil hi mein hovegaa faisla dil kaa
jaa phansaa dil zulf mein ab soiye
shaam ke murde ko kab tak Dhoiye
jinhein ye fikr nahin sar rahe rahe na rahe
vo sach hi kahte hain jab bolne pe aate hain
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
haan samundar mein utar lekin ubharne ki bhi soch
Dubne se pahle gahraai kaa andaaza lagaa
yahi 'arshad' hamaare nau-javaanon ki kahaani hai
jiye daulat ki khaatir aur mare filmi-sitaaron par
ye naqli sajde ye dast-bosi ye jhuTi 'izzat tumhein mubaarak
ham ek miTTi ke aadmi hain mazaar hone se Dar rahe hain
ghaayal vajud soch ki baisaakhiyaan liye
milne chalaa hai guzre hue maah-o-saal se