Shayari
vo sard raaton mein aansuon ke charaagh raushan
aur un charaaghon ki lau mein jalti 'ajib si chup
ufuq pe yaadon ke zard aanchal mein lipTaa suraj
aur us pe shaamon ke saath Dhalti 'ajib si chup
افق پہ یادوں کے زرد آنچل میں لپٹا سورج
اور اس پہ شاموں کے ساتھ ڈھلتی عجیب سی چپ
उफ़ुक़ पे यादों के ज़र्द आँचल में लिपटा सूरज
और उस पे शामों के साथ ढलती 'अजीब सी चुप

mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
jiinaa taDap taDap kar marnaa sisak sisak kar
fariyaad ek ji hai kyaa kyaa kharaabiyon mein
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
thak gayaa hai dil-e-vahshi miraa fariyaad se bhi
ji bahaltaa nahin ai dost tiri yaad se bhi
ek shoala saa uThaa thaa dil mein
jaane kis ki thi sadaa yaad nahin