Shayari
ik faqat yaad hai jaanaa un kaa
aur kuchh is ke sivaa yaad nahin
ek shoala saa uThaa thaa dil mein
jaane kis ki thi sadaa yaad nahin
ایک شعلہ سا اٹھا تھا دل میں
جانے کس کی تھی صدا یاد نہیں
एक शोला सा उठा था दिल में
जाने किस की थी सदा याद नहीं

ik faqat yaad hai jaanaa un kaa
aur kuchh is ke sivaa yaad nahin
jaane kis ki thi khataa yaad nahin
ham hue kaise judaa yaad nahin
main tohfa le ke aayaa huun tamannaaon ke phulon kaa
luTaane ko bahaar-e-zindagaani le ke aayaa huun
dilon kaa zikr hi kyaa hai milein milein na milein
nazar milaao nazar se nazar ki baat karo
sau baar chaman mahkaa sau baar bahaar aai
duniyaa ki vahi raunaq dil ki vahi tanhaai
kaun kis kaa gham khaae kaun kis ko bahlaae
teri be-kasi tanhaa mary bebasi tanhaa
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
aansuon mein mire kaandhe ko Dubone vaale
puchh to le ki mire jism kaa sahraa hai kahaan
ye risaala ishq kaa hai adaq tire ghaur karne kaa hai sabaq
kabhi dekh is ko varaq varaq miraa siina gham ki kitaab hai
ushshaaq jo tasavvur-e-barzakh ke ho gae
aati hai dam-ba-dam ye unhin ko sadaa-e-qalb