Shayari
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
fikr-e-maaash maatam-e-dil aur khayaal-e-yaar
tum sab se maazarat ki tabiat udaas hai
فکر معاش ماتم دل اور خیال یار
تم سب سے معذرت کہ طبیعت اداس ہے
फ़िक्र-ए-मआश मातम-ए-दिल और ख़याल-ए-यार
तुम सब से माज़रत कि तबीअ'त उदास है

gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
bulbul huaa hai dekh sadaa rang ki bahaar
is saal 'aabru' kuun ban aai basant rut
khud apni aadmi ko baDi qaid-e-sakht hai
phoD aainaa va toD sikandar ki sad ke taiin
tanhaai mein karni to hai ik baat kisi se
lekin vo kisi vaqt akelaa nahin hotaa