Shayari
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
ye kahnaa thaa un se mohabbat hai mujh ko
ye kahne mein mujh ko zamaane lage hain
یہ کہنا تھا ان سے محبت ہے مجھ کو
یہ کہنے میں مجھ کو زمانے لگے ہیں
ये कहना था उन से मोहब्बत है मुझ को
ये कहने में मुझ को ज़माने लगे हैं

gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
ham pe guzraa hai vo bhi vaqt 'khumaar'
jab shanaasaa bhi ajnabi se mile
na to hosh se taaaruf na junun se aashnaai
ye kahaan pahunch gae hain tiri bazm se nikal ke
phuul kar le nibaah kaanTon se
aadmi hi na aadmi se mile
vo kaanTaa hai jo chubh kar TuuT jaae
mohabbat ki bas itni daastaan hai
dushmanon se pashemaan honaa paDaa hai
doston kaa khulus aazmaane ke baad
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
gham-e-ishq mein kaari davaa na duaa ye hai rog kaThin ye hai dard buraa
ham karte jo apne se ho saktaa kabhi ham se bhi kuchh na kahaa tum ne
ham se bhi piit ki baat karo kuchh ham se bhi logo pyaar karo
tum to pareshaan ho bhi sakoge ham ko yahaan pe davaam kahaan
maaal-e-izzat-e-saadaat-e-ishq dekh ke ham
badal gae to badalne pe itni hairat kyaa
khazaana-e-zar-o-gauhar pe khaak Daal ke rakh
ham ahl-e-mehr-o-mohabbat hain dil nikaal ke rakh