Shayari
aatishin husn kyuun dikhaate ho
dil hai aashiq kaa koh-e-tur nahin
K
Kishan Kumaar Waqaarbosa dahan kaa us ke na paaeinge apne lab
daaghi hai main ne nok zabaan-e-savaal ki
بوسہ دہن کا اس کے نہ پائیں گے اپنے لب
داغی ہے میں نے نوک زبان سوال کی
बोसा दहन का उस के न पाएँगे अपने लब
दाग़ी है मैं ने नोक ज़बान-ए-सवाल की
aatishin husn kyuun dikhaate ho
dil hai aashiq kaa koh-e-tur nahin
ukhDi baaton se us ki saabit hai
kuchh na kuchh aaj ghair jaD ke uThaa
tumhaare ishq-e-abru mein hilaal-e-id ki surat
hazaaron ungliyaan uTThin jidhar se ho ke ham nikle
ashk-e-hasrat hai aaj tufaan-khez
kashti-e-chashm ki tabaahi hai
chhuptaa nahin hai dil mein kabhi raaz ishq kaa
ye aag vo hai jis ko nahin taab sang mein
haath pistaan pe ghair kaa pahunchaa
aap bhi ab hue anaar-farosh