Shayari
ukhDi baaton se us ki saabit hai
kuchh na kuchh aaj ghair jaD ke uThaa
K
Kishan Kumaar Waqaaraatishin husn kyuun dikhaate ho
dil hai aashiq kaa koh-e-tur nahin
آتشیں حسن کیوں دکھاتے ہو
دل ہے عاشق کا کوہ طور نہیں
आतिशीं हुस्न क्यूँ दिखाते हो
दिल है आशिक़ का कोह-ए-तूर नहीं
ukhDi baaton se us ki saabit hai
kuchh na kuchh aaj ghair jaD ke uThaa
tumhaare ishq-e-abru mein hilaal-e-id ki surat
hazaaron ungliyaan uTThin jidhar se ho ke ham nikle
ashk-e-hasrat hai aaj tufaan-khez
kashti-e-chashm ki tabaahi hai
chhuptaa nahin hai dil mein kabhi raaz ishq kaa
ye aag vo hai jis ko nahin taab sang mein
bahut dinon se huun aamad kaa apni chashm-ba-raah
tumhaaraa le gayaa ai yaar intizaar kahaan
haath pistaan pe ghair kaa pahunchaa
aap bhi ab hue anaar-farosh
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
dil-e-aafat-zada kaa muddaaa kyaa
shikasta saaz kyaa us ki sadaa kyaa
dil ke dariyaa ne kinaaron se mohabbat kar li
tez bahtaa hai magar kam nahin hone paataa
lagaa ke ThaT hai har suunaa muraadi
tamannaa-e-dili nikle kidhar se
dekh ye jazb-e-mohabbat kaa karishma to nahin
kal jo tere dil mein thaa vo aaj mere dil mein hai