Shayari
aatishin husn kyuun dikhaate ho
dil hai aashiq kaa koh-e-tur nahin
K
Kishan Kumaar Waqaargar husn-e-gandumi tiraa un ko na thaa pasand
aadam ne chhoDaa kis liye baagh-e-bahisht ko
گر حسن گندمی ترا ان کو نہ تھا پسند
آدم نے چھوڑا کس لئے باغ بہشت کو
गर हुस्न-ए-गंदुमी तिरा उन को न था पसंद
आदम ने छोड़ा किस लिए बाग़-ए-बहिश्त को
aatishin husn kyuun dikhaate ho
dil hai aashiq kaa koh-e-tur nahin
ukhDi baaton se us ki saabit hai
kuchh na kuchh aaj ghair jaD ke uThaa
tumhaare ishq-e-abru mein hilaal-e-id ki surat
hazaaron ungliyaan uTThin jidhar se ho ke ham nikle
ashk-e-hasrat hai aaj tufaan-khez
kashti-e-chashm ki tabaahi hai
chhuptaa nahin hai dil mein kabhi raaz ishq kaa
ye aag vo hai jis ko nahin taab sang mein
haath pistaan pe ghair kaa pahunchaa
aap bhi ab hue anaar-farosh