Shayari
gham-e-sud-o-ziyaan se be-niyaazaana nikaltaa hai
baDi farzaangi se teraa divaana nikaltaa hai
muskuraanaa kabhi na raas aayaa
har hansi ek vaardaat bani
مسکرانا کبھی نہ راس آیا
ہر ہنسی ایک واردات بنی
मुस्कुराना कभी न रास आया
हर हँसी एक वारदात बनी

gham-e-sud-o-ziyaan se be-niyaazaana nikaltaa hai
baDi farzaangi se teraa divaana nikaltaa hai
pareshaan the tiri mahfil se baahar
pashemaan hain tiri mahfil mein aa kar
ham un ke sitam ko bhi karam jaan rahe hain
aur vo hain ki is par bhi buraa maan rahe hain
in shokh hasinon ki niraali hai adaa bhi
but ho ke samajhte hain ki jaise hain khudaa bhi
kisi ik-aadh mai-kash se khataa kuchh ho gai hogi
magar kyuun mai-kade kaa mai-kada bad-naam hai saaqi
abhi vo kamsin ubhar rahaa hai abhi hai us par shabaab aadhaa
abhi jigar mein khalish hai aadhi abhi hai mujh par itaab aadhaa
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
apni anaa ki aaj bhi taskin ham ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin ham ne ki
vo kuchh muskuraanaa vo kuchh jheinp jaanaa
javaani adaaein sikhaati hain kyaa kyaa
bas is khayaal se kahin duniyaa na dekh le
likh kar tumhaaraa naam miTaanaa paDaa hamein
vo khiDki ab aur kisi ko takti hai
main ne bhi us gali mein jaanaa chhoD diyaa
na aae mere honTon tak jo paimaana nahin aataa
miri khuddaariyon ko haath phailaanaa nahin aataa