Shayari
har ek raat ke pahlu se din nikaltaa hai
vo log kaise sanvar jaaein jo tabaah nahin
yaad ke khushnumaa jaziron mein
dil ki aavaargi si rahti hai
یاد کے خوش نما جزیروں میں
دل کی آوارگی سی رہتی ہے
याद के ख़ुशनुमा जज़ीरों में
दिल की आवारगी सी रहती है

mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
ujaaD ho bhi chukaa miraa dil magar abhi daaghdaar bhi hai
yahi khizaan thi bahaar-dushman jo yaadgaar-e-bahaar bhi hai
yaad ne un tang kuchon ki fazaa sahraa ki dekh
har qadam par jaan maari hai dil-e-naakaam ki
mere naghmaat ki taqdir na pahunche tujh tak
meri fariyaad ki qismat ki tujhe chhu aai
jabhi to umr se apni ziyaada lagtaa huun
baDaa hai mujh se kai saal tajraba meraa