Shayari
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
larazti chhat shikasta baam-o-dar se baat karni hai
mujhe tanhaai mein kuchh apne ghar se baat karni hai
لرزتی چھت شکستہ بام و در سے بات کرنی ہے
مجھے تنہائی میں کچھ اپنے گھر سے بات کرنی ہے
लरज़ती छत शिकस्ता बाम-ओ-दर से बात करनी है
मुझे तन्हाई में कुछ अपने घर से बात करनी है
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ye saanehe dil-e-gham-ghin huaa hi karte hain
na ishq hi ki khataa hai na husn hi kaa qusur
tujh se hijaab kyaa magar ai ham-nashin na puchh
us dard-e-hijr ko jo shab-e-gham uThaa nahin
is pursish-e-karam pe to aansu nikal paDe
kyaa tu vahi khulus saraapaa hai aaj bhi