Shayari
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kaun maslub huaa husn kaa kirdaar ki ham
shohrat-e-ishq mein badnaam huaa yaar ki ham
کون مصلوب ہوا حسن کا کردار کہ ہم
شہرت عشق میں بدنام ہوا یار کہ ہم
कौन मस्लूब हुआ हुस्न का किरदार कि हम
शोहरत-ए-इश्क़ में बदनाम हुआ यार कि हम

sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
tumhaare ahd-e-vafaa ko main ahd kyaa samjhun
mujhe khud apni mohabbat pe e'tibaar nahin
dil ke muaamale mein natije ki fikr kyaa
aage hai ishq jurm-o-sazaa ke maqaam se
mohabbat tark ki main ne garebaan si liyaa main ne
zamaane ab to khush ho zahr ye bhi pi liyaa main ne