Shayari
meri aankhon mein utarne vaale
Duub jaanaa tiri aadat to nahin
jahaan-e-rang-o-bu par miTne vaalo
ye duniyaa mauj hai saahil nahin hai
جہان رنگ و بو پر مٹنے والو
یہ دنیا موج ہے ساحل نہیں ہے
जहान-ए-रंग-ओ-बू पर मिटने वालो
ये दुनिया मौज है साहिल नहीं है

meri aankhon mein utarne vaale
Duub jaanaa tiri aadat to nahin
teri pahchaan ke laakhon andaaz
sar jhukaanaa hi ibaadat to nahin
khul ke ro luun to zaraa ji sambhle
muskuraanaa hi masarrat to nahin
har samt sukut boltaa hai
ye kaun se jurm ki sazaa hai
nashaat-angez naghme kyaa sunaaein
tabiat is taraf maail nahin hai