Shayari
meri aankhon mein utarne vaale
Duub jaanaa tiri aadat to nahin
har samt sukut boltaa hai
ye kaun se jurm ki sazaa hai
ہر سمت سکوت بولتا ہے
یہ کون سے جرم کی سزا ہے
हर सम्त सुकूत बोलता है
ये कौन से जुर्म की सज़ा है

meri aankhon mein utarne vaale
Duub jaanaa tiri aadat to nahin
teri pahchaan ke laakhon andaaz
sar jhukaanaa hi ibaadat to nahin
khul ke ro luun to zaraa ji sambhle
muskuraanaa hi masarrat to nahin
jahaan-e-rang-o-bu par miTne vaalo
ye duniyaa mauj hai saahil nahin hai
nashaat-angez naghme kyaa sunaaein
tabiat is taraf maail nahin hai
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
nahin minnat-kash-e-taab-e-shunidan daastaan meri
khamoshi guftugu hai be-zabaani hai zabaan meri
chaman-zaar-e-mohabbbat mein khamoshi maut hai bulbul
yahaan ki zindagi paabandi-e-rasm-e-fughaan tak hai
dukaanein husn ki aage tire takhta hui hongi
jo tu baazaar mein hogaa to yusuf kab bikaa hogaa
teri ruuh mein sannaaTaa hai aur miri aavaaz mein chup
tu apne andaaz mein chup hai main apne andaaz mein chup
chup ho gayaa huun aap ki surat ko dekh kar
karni thiin aap se mujhe kitni shikaayatein