Shayari
kis ne rokaa hai sar-e-raah-e-mohabbat tum ko
tumhein nafrat hai to nafrat se tum aao jaao
ek majzub udaasi mere andar gum hai
is samundar mein koi aur samundar gum hai
ایک مجذوب اداسی میرے اندر گم ہے
اس سمندر میں کوئی اور سمندر گم ہے
एक मज्ज़ूब उदासी मेरे अंदर गुम है
इस समुंदर में कोई और समुंदर गुम है

kis ne rokaa hai sar-e-raah-e-mohabbat tum ko
tumhein nafrat hai to nafrat se tum aao jaao
agarche vaqt munaajaat karne vaalaa thaa
miraa mizaaj savaalaat karne vaalaa thaa
dhuup chhaanv kaa koi khel hai binaai bhi
aankh ko DhunD ke laayaa huun to manzar gum hai
main saamne se uThaa aur lau larazne lagi
charaagh jaise koi baat karne vaalaa thaa
paDaa huaa huun main sajde mein kah nahin paataa
vo baat jis se ki halkaa ho kuchh zabaan kaa bojh
tu khud apni misaal hai vo to hai
isi apni misaal mein mujhe mil
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
kahiye aaina-e-sad-fasl-e-bahaaraan tujh ko
kitne phulon ki mahak hai tire pairaahan mein
ashkon ke guhar bhi to nahin paas mire ab
main soch rahi huun gham-e-dauraan tujhe kyaa duun