Shayari
hue khatm cigarette ab kyaa karein ham
hai pichhlaa pahar raat ke do baje hain
R
Razzaq Arshadnai fazaa mein nai dosti panap na saki
gharon ke biich puraani adaavatein thiin bahut
نئی فضا میں نئی دوستی پنپ نہ سکی
گھروں کے بیچ پرانی عداوتیں تھیں بہت
नई फ़ज़ा में नई दोस्ती पनप न सकी
घरों के बीच पुरानी अदावतें थीं बहुत
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
kaanTe se bhi nichoD li ghairon ne bu-e-gul
yaaron ne bu-e-gul se bhi kaanTaa banaa diyaa
main kisi aur hi aalam kaa makin huun pyaare
mere jangal ki tarah ghar bhi hai sunsaan miraa
tazkira dehli-e-marhum kaa ai dost na chheD
na sunaa jaaegaa ham se ye fasaana hargiz
ik taraf pyaar hai rishta hai vafaadaari hai
aur in sab mein hi us gham ki taraf-daari hai
vafaa ki aaD mein kyaa kyaa hui jafaa ham par
jo dosti yahi Thahri to dushmani kyaa hai