Shayari
'aslam' baDe vaqaar se degrē vasul ki
aur is ke baa'd shahr mein khvaancha lagaa liyaa
kaanTe se bhi nichoD li ghairon ne bu-e-gul
yaaron ne bu-e-gul se bhi kaanTaa banaa diyaa
کانٹے سے بھی نچوڑ لی غیروں نے بوئے گل
یاروں نے بوئے گل سے بھی کانٹا بنا دیا
काँटे से भी निचोड़ ली ग़ैरों ने बू-ए-गुल
यारों ने बू-ए-गुल से भी काँटा बना दिया

'aslam' baDe vaqaar se degrē vasul ki
aur is ke baa'd shahr mein khvaancha lagaa liyaa
shahr mein aa kar paDhne vaale bhuul gae
kis ki maan ne kitnaa zevar bechaa thaa
eid kaa din hai so kamre mein paDaa huun 'aslam'
apne darvaaze ko baahar se muqaffal kar ke
hamaari jiit hui hai ki donon haare hain
bichhaD ke ham ne kai raat din guzaare hain
qarib aa ke bhi ik shakhs ho sakaa na miraa
yahi hai meri haqiqat yahi fasaana miraa
jab main us ke gaanv se baahar niklaa thaa
har raste ne meraa rasta rokaa thaa
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
phuul khulte hi titli bhi aai
kyaa koi dosti puraani hai
ab mujh ko rukhsat honaa hai ab meraa haar-singhaar karo
kyuun der lagaati ho sakhiyo jaldi se mujhe tayyaar karo
jo yaad-e-yaar se guft-o-shunid kar li hai
to goyaa phuul se khushbu kashid kar li hai
kahne ko gham-e-hijr baDaa dushman-e-jaan hai
par dost bhi is dost se behtar nahin miltaa
ab khulaa khvaab mein kuchh khvaab milaataa thaa main
khaak uDaataa thaa main sayyaaron ki sayyaaron par