Shayari
hijr ke baa'd ye socho ki kahaan jaaoge
ham to mar jaaeinge vaise bhi hamaaraa kyaa hai
ik taraf pyaar hai rishta hai vafaadaari hai
aur in sab mein hi us gham ki taraf-daari hai
اک طرف پیار ہے رشتہ ہے وفاداری ہے
اور ان سب میں ہی اس غم کی طرف داری ہے
इक तरफ़ प्यार है रिश्ता है वफ़ादारी है
और इन सब में ही उस ग़म की तरफ़-दारी है

hijr ke baa'd ye socho ki kahaan jaaoge
ham to mar jaaeinge vaise bhi hamaaraa kyaa hai
ghalat-fahmiyaan 'mit' rakkho na dil mein
vahi sach nahin jitnaa tum ne sunaa hai
lagaayaa hai dil bhi to patthar se main ne
miri zindagi ki yahi ik khataa hai
khvaab mein us se roz milaa kartaa thaa 'mit'
lekin sach mein nahin milaa so zinda huun
hamaaraa hijr bhi ab masala ban
zamaane mein uchhaltaa jaa rahaa hai
kai din se sharaarat hi nahin ki
mire andar kaa bachcha laapata hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
zulfon mein to sadaa se ye kaj-adaaiyaan hain
aankhon ne par ye aur hi aankhein dikhaaiyaan hain
yaar tanhaa ghar mein hai afsos lekin ham nahin
huur to hai gulshan-e-firdaus mein aadam nahin
shab-e-furqat hai Thaharte nahin shoale dil mein
taara TuuTaa ki miri aankh se aansu TuuTaa