Shayari
sajaa kar chaar-su rangin mahal tere khayaalon ke
tiri yaadon ki raanaai mein zebaai mein jiite hain
koi masrufiyat hogi vagarna maslahat hogi
na is paimaan-faraamoshi se us ko bevafaa kahnaa
کوئی مصروفیت ہوگی وگرنہ مصلحت ہوگی
نہ اس پیماں فراموشی سے اس کو بے وفا کہنا
कोई मसरूफ़ियत होगी वगर्ना मस्लहत होगी
न इस पैमाँ-फ़रामोशी से उस को बेवफ़ा कहना

hamein bhi aa paDaa hai doston se kaam kuchh yaani
hamaare doston ke bevafaa hone kaa vaqt aayaa
zakhm bhi ab hasin lagte hain
tere haathon fareb khaane par
baDe vasuq se duniyaa fareb deti rahi
baDe khulus se ham e'tibaar karte rahe
in hi kaa naam mohabbat in hi kaa naam junun
miri nigaah ke dhoke tiri nazar ke fareb
karam par bhi hotaa hai dhokaa sitam kaa
yahaan tak alam-aashnaa ho gae ham
baa-vafaa thaa to mujhe puchhne vaale bhi na the
be-vafaa huun to huaa naam bhi ghar ghar meraa